Hazrat Khwaja Muhammad Naqshband Sirhindi rahmatullahi alaihi

Laqab: Hujjatullah (Proof of Allah).n????????nHazrat Khwaja Muhammad Naqshband Sirhindi rahmatullahi alaihi ki wilaadat 1034 Hijri (1624 A.D.) me hui.nnAap ke waalid ka naam Hazrat Khwaja Muhammad Ma?asoom bin Hazrat Mujaddid e alfe saani Imam Shaikh Ahmad Sirhindi al-Faarooqi rahmatullahi alaihi hai.nnAap ne apne waaild Hazrat Khwaja Muhammad Ma?asoom, apne chacha Hazrat Khwaja Muhammad Saeed Sirhindi aur deegar ulama se ta?aleem haasil ki.nnHazrat Khwaja Muhammad Naqshband Sirhindi rahmatullahi alaihi ko 2 martaba Hajj e Baitullh ki sa?adat haasil hui.nnAap ak?ar mughal lashkar me rehkar sipahiyo aur salaaro ko taaleem wa nasihat farmate. Bahot saare sipahi Aapke mureed the.nnAap ne Mughal baadshaah Hazrat Aurangzeb rahmatullahi alaihi ko kai khat likhe the.nnMaulana Imaad-ud-deen Muhammad ne ?Manktubaat? me Aapke 128 khato ko jama kiya hain.nnHazrat Khwaja Muhammad Naqshband Sirhindi rahmatullahi alaihi ke pote aur khalifa Khwaja Muhammad Zubair bayaan karte hain ken?Ek martaba Aap shadeed beemaar the aur apne ghar me baithe the. Itne me ek imama pehna hua shakhs aaya (jo ek farishta tha) aur aap se kaha ke ?ALLAH ta?ala ne Aap ko Salaam bheja hai.? Aap ne sar uthaaya aur usse farmaya ?Allahumma antas salaam wa minkas salaam tabaarak ya zul-jalaali wal ikaraam.?nnHazrat Khwaja Muhammad Naqshband Sirhindi rahmatullahi alaihi ke saahabzaade:nn(1) Shaikh Abul A?ala (Wisaal 1107 Hijri)n(2) Shaikh Muhammad Umarn(3) Shaikh Muhammad Kaazim.nnHazrat Khwaja Muhammad Naqshband Sirhindi rahmatullahi alaihi Hazrat Khwaja Muhammad Ma?asoom Naqshbandi Sirhindi rahmatullahi alaihi ke mureed hain Aur ?Naqshbandi Mujaddidi? silsile ke Shaikh hain.nnHazrat Khwaja Muhammad Naqshband Sirhindi rahmatullahi alaihi ke khulfa:nn(1) Shaikh Muhammad Zubair bin Shaikh Abul A?ala Sirhindi rahmatullahi alaihin(2) Shaikh Abul Khair Burhanpuri rahmatullahi alaihin(3) Shaikh Ziya-ud-deen Yousuf Mujaddidi Sirhindi bin Khwaja Yahya rahmatullahi alaihin(4) Shaikh Abdul Kareem rahmatullahi alaihin(5) Shaikh Haji Abdull?h rahmatullahi alaihi.nnHazrat Khwaja Muhammad Naqshband Sirhindi rahmatullahi alaihi ka wisaal 9 Moharram 1115 Hijri (14 May 1703 A.D) ko 80 saal ki umr me hua.nnAap ka mazaar Sirhind (Punjab) me hai.nnAzaadi aur taqseem e mulk ke waqt fasaad ke dauraan kuch muslim, Aap ke mazaar me panaah li thi.nnKuchh sikh ne unko maarne ke liye hamla kiya. Magar jaise hi wo sikh dargaah ke qareeb aaye dargaah ke minaar tootkar un par gire. Jisse darkar wo sab waha se bhaag gaye.nnALLAH ta?ala uske Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Hazrat Khwaja Muhammad Naqshband Sirhindi rahmatullahi alaihi aur tamaam Auliya Allah ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmaye aur Sab ke Imaan ki hifazat farmaye aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmaye.nAur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmaye aur Sab ki nek jaayiz muraado ko puri farmaye.nAameen.

Share your love