Hazrat Abu Hafz Rabee bin Sabeeh rahmatullahi alaihi

Laqab: Sawaai Peer. Aap ki wiladat Basra (Iraq) mein hui. Aap ke waalid Banu Saad bin Banaat bin Tazeem qabeele ke aazaad karda ghulaam the.

Hazrat Abu Hafz Rabee bin Sabeeh rahmatullahi alaihi Tabe taabi’een hain.

Hazrat Abu Hafz Rabee bin Sabeeh rahmatullahi alaihi ne Hazrat Khwaja Hasan Basri, Imaam Ataa bin Abi Rabaah Makki, Imaam Yazeed Rakkashi, aur Imam Abu Zuberi rahmatullahi alaihi se taleem haasil ki.

Hazrat Abu Hafz Rabee bin Sabeeh rahmatullahi alaihi Hadees aur fiqh ke maahir the.

Hazrat Abu Hafz Rabee bin Sabeeh rahmatullahi alaihi un Mohaddeeseen mein se hain jinho ne dusri sadi hijri mein Ahaadees ko jama karke logo tak pahunchaana shuru kiya.

Hazrat Imam Ahmad bin Hanbal ki kitaab mein Hazrat Abu Hafz Rabee bin Sabeeh rahmatullahi alaihi se kai Hadees marwi hain.

Aap 159 Hijri (775 A.D.) mein al-Mahdi Billah Abbaasi ke zamaane mein Hazrat Abdul Malik bin Shihaab al-Masmai ke saath ishaate Islam ke liye Hindustan tashreef laaye Aur Bhadbhoot (Gujarat) mein sukoonat pazeer hokar taleem e deen aur khidmat e khalq karte rahein.

Ek martaba Hazrat Abu Hafz Rabee bin Sabeeh rahmatullahi alaihi ke ek saathi ne Aap se kaha ke

Kuchh log aap ko ruswa karne ke liye aapki buraai talaash karte rehte hain.

Hazrat Abu Hafz Rabee bin Sabeeh rahmatullahi alaihi ne farmaya ke

Isse pareshaan hone ki zaroorat nahi. Maine aakhirat ki taraf rooju kiya use dunya se behtar paaya, Maine Rahman [ALLAH taala] se raghbat ki, to woh mujhse raazi hua. Agar main logo ko raazi karne ki koshish karta. To nakaam hota kyun ki insaan apne khaaliq se bhi khush nahi hai, to dusre insaan se kaise khush ho sakta hai.

160 Hijri (776 A.D.) mein jab Bhadbhoot mein Taaoon (plague) ki beemaari phaili.

Hazrat Abu Hafz Rabee bin Sabeeh rahmatullahi alaihi mareezo ka ilaaj karne lage Aur isi beemari ke sabab Aapka aur aapke kai shaagirdo ka inteqal hua.

Hazrat Abu Hafz Rabee bin Sabeeh rahmatullahi alaihi ka 16 Moharram 160 Hijri (November 776 A.D.) ko hua.

Hazrat Abu Hafz Rabee bin Sabeeh rahmatullahi alaihi ka mazaar Savai bet, Pipavav (Gujarat) mein hai.

ALLAH taala uske Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe mein Aur Hazrat Rabee bin Sabeeh urfe Sawaai Peer rahmatullahi alaihi aur tamaam Auliya Allah ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmaye aur Sab ke Imaan ki hifazat farmaye aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmaye Aur Sab ko dunya wa aakhirat mein kaamyaabi ata farmaye aur Sab ki nek jaayiz muraado ko puri farmaye.

Aameen.

Share your love