Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi ki wilaadat Rabi ul awwal 1325 Hijri (August 1907 A.D.) me Bareilly me hui.nnMufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi ke waalid ka naam Alhaaj Sardaar Wali Khan bin Maulana Haadi Ali Khan hai.nnMufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi waalid Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Bareilwi rahmatullahi alaihi ke chachazaad bhai the.nnMufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi ki naani Aala Hazrat ki zauja ki bahen thi.nn5 saal ki umr me Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi ne Quran majeed ki ta?aleem mukammal ki.nn1332 Hijri (1914 A.D.) me Aap 7 saal ki umr me Aala Hazrat ke mureed hue.nnAap ne ibtidaai ta?aleem Maulana Khaleel-ur-Rahman Bihari, Maulana Zaheer-ul-Hasan Mujaddidi Faarooqi aur unke saahabzaade Maulana Noor-ul-Hasan Rampuri se haasil ki.nnAap ne Hazrat Maulana Hasanain Raza Khan rahmatullahi alaihi se Dars-e-Nizami ki ta?aleem haasil ki.nnHazrat Maulana Rahame Ilahi, Hazrat Maulana Abdul Mannaan, Hazrat Maulana Abdul Azeez Mohaddees Bareilwi, aur Hazrat Sadrush-Shariah Mufti Amjad Ali Azmi rahmatullahi alaihi se ta?aleem haasil ki.nnMufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi ne Hazrat Hujjat-ul-Islam Maulana Muhammad Hamid Raza Khan rahmatullahi alaihi se majeed ta?aleem haasil ki.nn1345 Hijri (1926 A.D.) me Aap ne Daar-ul-Uloom Manzar-e-Islam se Sanad-e-Faraaghat haasil ki.nnPhir Aala Hazrat se ?Sharh Jaami? ka Khutba padha.nnDauraane ta?aleem hi Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi Daar-ul-Uloom Manzar-e-Islam ke naa’ib Mohtamim muqarrar hue.nnFaraaghat ke baad Daar-ul-Uloom Manzar-e-Islam me dars wa tadrees shuru ki.nnHazrat Hujjat-ul-Islam rahmatullahi alaihi ke baad Daar-ul-Uloom Manzar-e-Islam ke Mohtamim muqarrar hue.nnTaqseeme mulk ke baad 1951 A.D. me Aap Karachi tashreef laaye.nn1371 Hijri (1952 A.D.) me Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi Peer jo goth tashreef laaye aur Daar-ul-Uloom Jamiah Rashidiyah me dars wa tadrees shuru ki.nnTehreek-e-Khatm-e-Nabuwwat me bhi Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi shaamil hue.nnMuradabad Sunni Conference me bhi Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi ne shirkat ki.nnAap ne Hazrat Imam Muhammad al-Ghazaali rahmatullahi alaihi ki kitaab ?Mukaashfatul Quloob? ka Tarjuma kiya hai.nnMufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi ke mash’hoor shaagird:n
- n t
- Maulana Muhammad Ibraheem Khushtar Siddeeqi rahmatullahi alaihi
- Mohaddees e azam e Pakistan Maulana Sardaar Ahmad rahmatullahi alaihi,
- Maulana Rajab Ali Razawi,
- Mufti Sayyed Muhammad Afzal Husain,
- Maulana Mufti Ashfaaq Husain Naeemi,
- Maulana Mufti E’ajaaz Wali Razawi rahmatullahi alaihi,
- Maulana Mufti Ghulaam Qaadir,
- Maulana Mufti Abdul Hameed,
- Maulana Mufti Abdul Raheem,
- Maulana Muhammad Saalih rahmatullahi alaihi,
- Maulana Dar Muhammad,
- Maulana Muhammad Haaroon,
- Peer Mardaan Shaah.
n t
n t
n t
n t
n t
n t
n t
n t
n t
n t
n t
n t
n
nMufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi ne 1364 Hijri (November 1945 A.D.) me Hajje Baitullah ada kiya.nnIske baad 1969 A.D. me dusri martaba aur 1392 Hijri (1972 A.D.) me teesri martaba Hajj ada kiya.nnRamzan-ul-Mubarak 1395 Hijri (1975 A.D.) me Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi ne Umrah wa Ziyarat ki sa?adat haasil ki.nn1342 Hijri (1923 A.D.) me Aap ka nikah Hazrat Hujjat-ul-Islam Maulana Muhammad Hamid Raza Khan rahmatullahi alaihi ki saahabzaadi se hua.nnMufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Bareilwi rahmatullahi alaihi ke mureed hain.nnHazrat Hujjat-ul-Islam Maulana Muhammad Hamid Raza Khan rahmatullahi alaihi aur Hazrat Qutb-e-Madeena Maulana Zia-ud-deen Ahmad Madani Razawi rahmatullahi alaihi ne Aap ko khilaafat ata farmai hai.nnMufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi ke khalifa Hazrat Maulana Muhammad Ibraheem Khushtar Siddeeqi rahmatullahi alaihinnWisaal se pehle Aap ne Madina munawwara ki khajoor khaai aur Zam zam piya.nnPhir Durood shareef padhte hue inteqaal farmaya.nnMufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi ka wisaal 3 Rajab 1408 Hijri (22 February 1988 A.D.) ko Budh ke roz 12:10 ko hua.nnMufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi ki namaz e janaza Hazrat Allama Mufti Waqaar-ud-deen rahmatullahi alaihi ne padhai.nnMufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi ka mazaar Pir jo Goth, Khairpur, Sindh (Pakistan) me hai.nnALLAH ta?ala uske Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe menAur Hazrat Maulana Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi aur tamaam Auliya Allah ke waseele senSab ko mukammal ishq e Rasool ata farmaye aur Sab ke Imaan ki hifazat farmaye aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmaye.nAur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmaye aur Sab ki nek Jaayiz muraado ko puri farmaye.nAmeen.