Aap ki wilaadat 1160 Hijri (1747 A.D.) me Multan me hui.nnHazrat Maulana Hafiz Jamalullah Chishti Multani rahmatullahi alaihi ke waalid ka naam Hazrat Mohammad Yousuf bin Hafiz Abdur Rasheed hai.nnAap Awaan qabeele se hain.nnHazrat Maulana Hafiz Jamalullah Chishti Multani rahmatullahi alaihi ke daada Aawaankaari ke ilaaqe se Multan tashreef laaye the aur Multan ke Sharq me sukoonat ikhtiyaar ki thi.nnHazrat Maulana Hafiz Jamalullah Chishti Multani rahmatullahi alaihi ke waalid Multan ke haakim Abul Qaasim aur Abul Haashim ke Wazeer the.nnAap bachpan me hi Hafiz e Qur?an hue aur bahot saare uloom ki ta?aleem haasil ki. Ta?aleem ke daur me bhi Hazrat Maulana Hafiz Jamalullah Chishti Multani rahmatullahi alaihi mubaahisa me hamesha kaamyaab hote the.nnHazrat Maulana Hafiz Jamalullah Chishti Multani rahmatullahi alaihi aksar raat ko Hazrat Rukn-e-aalam Shaikh Rukn-ud-deen Abul Fat’h Suharwardi rahmatullahi alaihi ke mazaar shareef par haazir hokar Ibadat o Riyazat me masroof rehte.nnRoz raat ko ek Kalaame paak khatm farmate aur Peer e kaamil ke liye dua maang kar so jaate.nnEk raat Aap ne khwaab me dekha ke Hazrat Rukn-e-aalam aur Hazrat Khwaja Noor Muhammad Maharwi rahmatullahi alaihi ek sath baithe hue hain.nnHazrat Rukn-e-aalam ne Aap ka haath pakad kar Hazrat Khwaja Noor Muhammad Maharwi ke haath par rakh diya aur farmaya ke ?Jamaal! Yeh Tumhare Peer hain. Inka naam Noor Muhammad Maharwi hai aur watan Multan ka ek qasba hai. Tum inki khidmat me haazir ho jaao.?nnSubah ko Aap Mahar shareef ke liye rawaana hue aur Hazrat Khwaja Noor Muhammad Maharwi rahmatullahi alaihi ki khidmat me haazir ho kar Silsila e Chishtiya Nizaamiya me Bai’at se musharraf hue.nnPeer ke farmaan par Hazrat Maulana Hafiz Jamalullah Chishti Multani rahmatullahi alaihi ne Multan me ?Chishti? Khaanqaah taamir ki aur ta?aleem wa faiz ata farmate rahe.nnAap bahot narm dil the. Agar koi ghareeb, ya museebat zada Aap ke paas aata to aap use tasalli dete.nnAap ke paas ek angoothi thi jis me ?Allahu jameelun wa yuhibbul jamaal?nn[ALLAH jameel hai aur Jamaal ko pasand karta hai.] naqsh kiya hua tha.nnHazrat Maulana Hafiz Jamalullah Chishti Multani rahmatullahi alaihi ne Siraiki me ?Seeharfi? naam se nazam likhi hai jis me 29 ash’aar hain.nnHazrat Maulana Hafiz Jamalullah Chishti Multani rahmatullahi alaihi Tirandaaji me maahir the aur Ranjeet Singh ne jab hamla kiya to Nawab Muzaffar Khan ke lashkar ke saath jung me bhi shaamil hue.nnKaramat:nn(1) Mohammad Husain naami Aap ka mureed jawaani me gunaaho ke kaam me mashgool ho gaya. Aap ke ek Khaadim ne Aap ki baargaah me haazir ho kar arz ki ?Huzoor! Yeh Nau-jawaan Aap ka mureed hai lekin bure kaamo me mubtila ho gaya hai. uski aaqibat ka kya hoga??nnAap ne farmaya ke ?Uski aaqibat ba-khair hogi. Use bukhaar aayega aur is beemaari me woh 3 saal tak takleef uthaaega, Apne bure kaamo se tauba karega aur in shaa Allah main uska janaza padhunga.?nnChand saalo ke baad use bukhaar ho gaya jo 3 saal tak raha, aakhir ek din faut ho gaya. Jab uska janaza qabrastan le gaye to Khaadim ne socha ke Hazrat to Mahar shareef tashrif le gaye hain, ab janaza kaise padhayenge?nnAbhi yeh soch hi raha tha ke chand sawaariyo aur paidal aane waalo ki gard udi. Dekha to Hazrat tashreef le aaye hain.nnAap ne namaz e janaza padhaayi aur farmaya ?Aye Mohammad Husain! Tumhe Khuda ke supurd kiya.?nn(2) Ek martaba Aap apne qaafle ke saath Singhad se aa rahe the. Jab Dariya e Sindh par pahunche to dekha ke dariya tugyaani par hai. Kashti bhi maujood na thi.nnAap ne Ghaazi Baloch naami ek mureed ko dariya me daakhil hokar paani ka andaza lagaane ke liye kaha.nnWoh paani me utre aur ek kianaare se dusre kinaare gaye to dekha ke paani sirf ghutno tak tha.nnAap ne farmaya ke ?Bismillah padh kar daakhil ho jaao.?nnDurvesho ki jamaa’at, oont, ghode aur gadho ke saath Dariya me daakhil ho gaye.nnHar aadami aur jaanwar ke ghutne tak paani tha. Is tarah sab us ghehre toofaani dariya se kashti ke baghair guzar gaye.nnAap Hazrat Khwaja Noor Muhammad Maharwi rahmatullahi alaihi ke mureed aur khalifa hain.nnHazrat Maulana Hafiz Jamalullah Chishti Multani rahmatullahi alaihi ke khulfa:nn(1) Hazrat Khwaja Khuda bakhsh Multani Khairpuri rahmatullahi alaihin(2) Hazrat Maulana Abdul Azeez Parharwi rahmatullahi alaihin(3) Hazrat Maulana Zaahid Shaah Bukhari rahmatullahi alaihin(4) Hazrat Qaazi Maulana Isa Khanpuri rahmatullahi alaihin(5) Hazrat Maulana Haamid rahmatullahi alaihi.nnHazrat Maulana Hafiz Jamalullah Chishti Multani rahmatullahi alaihi ka wisaal 5 Jamaadi ul Awwal 1226 Hijri (29 May 1811 A.D.) ko 66 saal ki umr me hua.nnHazrat Maulana Hafiz Jamalullah Chishti Multani rahmatullahi alaihi ka mazaar Multan (Pakistan) me hai.nnALLAH ta?ala us ke Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe menAur Hazrat Maulana Hafiz Jamalullah Chishti Multani rahmatullahi alaihi aur tamaam Auliya Allah ke waseele senSab ko mukammal ishq e Rasool ata farmaye aur Sab ke imaan ki hifazat farmaye aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmaye.nAur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmaye aur Sab ki nek Jaayiz muraado ko puri farmaye.nAameen.