Hazrat Bilal al Habashi radiAllahu taala anhu

Alqaab: Sayyed-ul-Muazzeen, Muazzin-e-Awwal.

Hazrat Bilal al Habashi radiy-Allahu taala anhu ki wiladat 580 A.D. mein Makka mein hui. Hazrat Bilal al Habashi radiy-Allahu taala anhu ke waalid ka naam Rabah aur waalida ka naam Hamamah hai.

Aap ke waalidain Habasha (Abyssinia, Ethiopia / Africa) ke the.nnEk baar Huzoor Rasool-Allah Sallallahu alaihi wassallam Makka ki ek gali se guzar rahe the.

Unho ne ek ghar mein se kisi ke rone ki aawaaz suni.nnIs dard bhari rone ki aawaaz sunkar be-ikhtiyaar us ghar mein daakhil ho gaye.

Dekha ke ek Habashi naujawaan chakki pees raha hai aur zaar o qataar ro raha hai.

Huzoor Sallallahu alaihi wa sallam ne us se rone ki wajah puchhi to us ne bataaya ke

Main ek ghulaam hu. Saara din apne maalik ki bakariya charaata hu.

Shaam ko thak kar jab ghar aata hu to mera maalik mujhe gamdum ki ek bori peesne ke de deta hai. Jisko peesne mein puri raat lag jaati hai. Main bhi ek insaan hu.

Mera jism bhi aaraam maangta hai.nnLekin mere maalik ko mujh par zara bhi taras nahi aata hai.

Main apni buri qismat par ro raha hu. Kya meri taqdeer me saari zindagi isi tarah ro rokar guzaarna hi likha hai?

Huzoor Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya ke

Main tumhare maalik se kehkar tumhari mashaqqat to kam nahi karwa sakta kyun ki wo meri baat maanega nahi. Haan, Main tumhari thodi madad kar sakta hu.

Tumhari jagah par main chakki peesta hu aur tum so jaao.

Wo Habashi ghulaam bahot khush hua aur shukriya ada karke so gaya.

Huzoor Sallallahu alaihi wa sallam uski jagah par chakki peeste rahein.

Jab gandum khatm ho gaye to aap Sallallahu alaihi wa sallam use baghair jagaye waapas tashreef le aayein.

Dusre din phir aap Sallallahu alaihi wa sallam waha tashreef le gaye aur us ghulam ko sulaakar uski jagah chakki peeste rahein.

Teesre deen bhi yahi maajra hua aur subah ko aap Sallallahu alaihi wa sallam khaamoshi se apne ghar tashreef le aayein.

Chothe din jab aap Sallallahu alaihi wa sallam waha gaye to us ghulaam ne kaha

Aye Allah ke bande!, Aap kaun hain aur mera itna khayaal kyun kar rahe hain?

Hum ghulaamo se na kisi ko koi dar hota hai aur na koi faa’ida.

To phir aap ye sab kuchh kis liye kar rahe ho?

Huzoor Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya

Main to ye sab insaani humdardi ke tahet kar raha hu. Iske ilaawa mujhe tum se koi garz nahi.

Us ghulaam ne kaha Aap kaun ho?

Huzoor Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya ke

Kya tum jaante ho ke Makka ke ek shakhs ne nabuwwat ka daawa kiya hai?

Us ghulaam ne kaha

Haan, Maine suna hai ke Mohammad naami ek shakhs khud ko ALLAH ka nabi kehta hai.?

Huzoor Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya

Main wo hi Mohammad hu.

Ye sunkar us ghulaam ne kaha

Agar aap hi wo nabi hain to mujhe kalma padhaa’iye kyun ki itna shafeeq aur meharbaan koi nabi hi ho sakta hai jo ghulaamo ka bhi is qadar khayaal rakhein.

Phir Hazrat e Bilal kalma padhkar Islam mein daakhil hue.

Hazrat E Bilal as-Saabiqoon al-Awwaloon mein shaamil hain.

Hazrat e Bilal ne 30 saal ki umr mein jab Islam apnaaya to shuru mein makhafi rakha.

Jab Hazrat e Bilal ke Maalik Umayyah ibn Khalaf ko pata chala, to usne aap ko tarah tarah ki takleef dena shuru kiya.

Wo Hazrat e Bilal ko garm ret par letakar aap ke upar bade bhari patthar rakta tha.

Hazrat e Bilal ne har takleef bardaasht ki, magar Islam aur daaman e Mustafa ko na chhoda aur apne ishq e Mustafa ka saboot diya.

Phir Huzoor Sallallahu alaihi wa sallam ke hukm par Hazrat e Abu Bakr Siddeeq radiy-Allahu taala anhu ne Umayyah ibn Khalaf ko dusra gulaam aur kuchh raqam dekar Hazrat E Bilal ko aazad karaya.

Jab Hazrat e Abu Bakr aap ko lekar jaa rahein the tab Umayyah ibn Khalaf ne kaha.

Aye Abu Bakr! Tum ne bahot mahenga sauda kiya.

To Hazrat e Abu Bakr Siddeeq ne usse kaha.

Tum ne sirf Bilal ko dekha hai aur maine uske dil mein ishq e Rasool ko dekha hai.

622 A.D. mein Huzoor Sallallahu alaihi wa sallam ke Madeena Shareef aane ke baad Hazrat Bilal bhi Makka Shareef se Hijrat karke Madeena Shareef aa gaye.

Hazrat Bilal ne Jung e Badr aur dusri tamaam jang mein shirkat ki.

Jung e Badr mein Hazrat e Bilal ne Umayyah bin Khalaf ko qatl kar diya.

Hazrat e Bilal Islam ke sab se pehle Muazzin hain.

San 2 Hijri mein jab Hazrat e Umar radiy-Allahu taala anhu ne Huzoor Sallallahu alaihi wa sallam ne Namaz ke liye musalmano ko jama karne ke liye Azaan pukaarne ka mashwara diya.

To Huzoor Sallallahu alaihi wa sallam ne Hazrat e Bilal ko Muazzin muqarrar kiya.

Hazrat e Bilal hamesha Huzoor Sallallahu alaihi wa sallam ke saath rehte the, Masjid e Nabawi mein ya Masjid e Quba mein, ya Safar mein aur Hazrat Bilal ki Azaan ki aawaaz se ashaaba ko pata chal jaata tha ke Huzoor Sallallahu alaihi wa sallam kis maqaam par hain.

Jab Makka Shareef fatah hua to Hazrat e Bilal ne Kaabatullah par Azaan pukaari.

Huzoor Sallallahu alaihi wa sallam ne Hazrat Bilal ko apna khajaanchi muqarrar kiya tha aur jab koi shakhs apni haajat lekar darbaar e nabi mein aata tha to aap Hazrat e Bilal ko uske liye hukm dete the aur wo use uski haajat ki cheez dete the.

Ek martaba Huzoor E Akram Sallallahu alaihi wa sallam ne Fajr ke waqt Hazrat e Bilal se farmaya ke

Aye Bilal! Yeh bataao ke imaan laane ke baad tum ne wo kaun sa aisa amal kiya hai jo fazilat mein dusre amal se badhkar hai.

Kyun ki maine jannat mein tumhare qadmo ki aawaaz aage aage suni.

Hazrat Bilal ne kaha

Ya Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam! Mujhe aisa koi amal yaad nahi aata,

Phir kuchh der baad aap ne kaha.

Aye mere Aaqa! Main jab bhi wazu karta hu, chaahe din mein ya raat mein, to foran main 2 rak’at nafl Tahyatul Wazu padhta hu aur jab bhi mera wazu toot jaata hai to main foran wazu kar liya karta hu.

Huzoor E Akram Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya ke

Aye Bilal! Ye hi wo amal ho sakta hai, jiski wajah se ye khushkhabari mili hai.

Sahih Bukhari, Jild -2, Hadees-1149

Huzoor Sallallahu alaihi wa sallam ke parda farmaane ke baad Hazrat e Abu Bakr radiy-Allahu taala anhu ke ilteja karne par Hazrat e Bilal Madeena munawwara mein ruke.

Lekin Hazrat e Abu Bakr radiy-Allahu taala anhu Ke wisaal ke baad Hazrat e Umar Farooq radiy-Allahu taala anhu ke zamaaane mein Hazrat e Bilal ne unse Jihaad ke jaane ki ijazat chaahi.

Hazrat e Umar Farooq ne Madeena Shareef mein rukne ki guzaarish ki, magar Hazrat Bilal na maane aur Shaam (Syria) ki taraf rawaana ho gaye aur Halab mein muqeem hue.

Ek saal baad khwaab mein Huzoor Sallallahu alaihi wa sallam ki ziyarta hui aur Huzoor Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya

Aye Bilal! Kya hum se milna nahi chaahte?

Hazrat Bilal foran oontni par sawaar hokar Madeena munawwara tashreef laaye.

Roza e Rasool Sallallahu alaihi wa sallam par haazir hue aur be-inteha rote hue gir pade.

Jab Hazrat e Bilal ko hosh aaya to logo ne Aap ko fajr ki azaan ke liye guzaarish ki.

Shuru mein mana karne ke baad Hazrat e Hasan aur Hazrat E Hussain ko bulaaya gaya aur jab unho ne guzarish ki to Hazrat Bilal ne azaan pukaari aur sab ko Huzoor Sallallahu alaihi wa sallam ke zamaana e zaahiri ki yaad aa gayi.

Magar Ashhadu anna Mohammadur Rasool-Allah par pahunchkar Hazrat E Bilal ki aankho se aansoo jaari ho gaye aur aawaaz halaq mein rukh gayi.

Jab Hazrat E Bilal ko hosh aaya to bataaya ke

Jab main Ashhadu anna Mohammadur Rasool-Allah kehta tha to Huzoor Sallallahu alaihi wa sallam ko dekh leta tha. Aaj Huzoor Sallallahu alaihi wa sallam ko aankho ke saamne na paaya to Aaqa ke hijr mein khud ko sambhal nahi saka.

Phir usi roz Hazrat E Bilal Mulke Shaam waapas chale gaye.

Ameer ul momineen Hazrat e Umar Farooq radiy-Allahu taala anhu jab Jerusalem gaye to waha Hazrat e Bilal maujood the aur ashaaba ke arz karne par Hazrat e Umar Farooq Radiallaho Anhu ne unko azaan ke liye guzaarish ki.

Shuru mein mana karne ke baad jab Hasnain kareemain ka waasta dekar israar kiya to Hazrat e Bilal ne azaan pukaari aur sab ko Huzoor Sallallahu alaihi wa sallam ke zamaana e zaahiri ki yaad aa gayi.

Qaul:

Deen e Islam mein kisi tarah ka jabr nahi.

Hidayat paane mein kisiko barso lag jaate hain to kisi ko ek pal.

Waqt ka tayyun sirf ALLAH taala hi karta hai.

Hazrat e Bilal ka wisaal 20 Moharram 18 Hijri (2 March 640 A.D.) ko 60 saal ki umr mein hua.

Hazrat Bilal al-Habashi radiy-Allahu taala anhu ka mazaar Damascus (Syria) mein Baab-us-sagheer mein hai.

ALLAH taala uske Habeeb Sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe mein Aur Hazrat Bilal al Habashi radiy-Allahu taala anhu aur Ashaaba ke waseele se.

Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmaye aur Sab ke Imaan ki hifazat farmaye aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmaye Aur Sab ko dunya wa aakhirat mein kaamyaabi ata farmaye aur Sab ki nek Jaayiz muraado ko puri farmaye.

Aameen.

Share your love