Hazrat Allama Maulana Muhammad Noor-bakhsh Tawakkali rahmatullahi alaihi

Laqab: Fakhr-e-Ahle Sunnat.nnHazrat Allama Maulana Muhammad Noor-bakhsh Tawakkali rahmatullahi alaihi ki wiladat 12 Rabi ul Awwal 1305 Hijri (1888 A.D.) me Chak Qadyan, Zila Ludhiana me hui.nnHazrat Allama Maulana Muhammad Noor-bakhsh Tawakkali rahmatullahi alaihi ne ibtidaai ta?aleem apne ilaaqe ke ulama se haasil ki.nnPhir Aligarh University se M.A Arabi ki degree haasil ki.nnPhir Municipal Board College me Professor bane aur saath me Maulana Ghulaam Rasool Qasimi Amritsari ki khidmat me haazir hokar Hadees, Tafseer aur Fiqh ki ta?aleem haasil karte rahe.nnJab Hazrat Allama Maulana Muhammad Noor-bakhsh Tawakkali rahmatullahi alaihi Mohammadian School, Ambala me Head Master the.nnUn dino me Hazrat Khwaja Tawakkal Shaah Ambalawi rahmatullahi alaihi [Wisaal 1315 Hijri (1897 A.D.)] se bai’at ki aur phir khilafat aur ijazat se sarfaraaz hue.nnEk arse tak Aap Jaamia Naeemia, Lahore ke Naazime ta?aleemaat rahe aur saath saath Government College me Shoaba e Arabi ke Professor bhi rahe.nnKuchh muddat ke baad College se musta?af ho gaye.nnApni ta?aleemaat ke zariye Aap ne Ahle Sunnat wal Jama?at ki azeem khidmat ki hai.nnTasannif:nnHazrat Allama Maulana Muhammad Noor-bakhsh Tawakkali rahmatullahi alaihi ki likhi hui mash’hoor kitaabein:nn(1) Seerat e Rasool e Arabin(2) Moazizaat-un-Nabin(3) Meelad-un-Nabin(4) Ghazwat-un-Nabin(5) Qaseeda-ul-Burda Sharh-ul-Umdan(6) Sirat e Ghaus ul aazamn(7) Tazkira Masha’ikh-e-Naqshbandian(8) Imam Bukhari Shaafa’in(9) Kitaab-ul-Barzakhn(10) E’ajaz-ul-Qur?ann(11) Tafseer Surah al-Fatiha wa Baqarahn(12) Aqaa’id e Ahle Sunnatn(13) Al-Afwaah-ul-Saheeh fee Jawaab-ul-Jarh alaa Abi Haneefa (Imam e aazam Abu Haneefa rahmatullahi alaihi par Raafzi aur Ghair Muqallideen ke aitaraazaat ka jawaab)nn(14) Tahfah e Shia (2 Jild)n(15) Sar Gazasht Ibn-e-Tamaima.nnAap Hazrat Khwaja Tawakkal Shaah Ambalawi rahmatullahi alaihi ke mureed aur khalifa hain.nnSid’hi se girne ki wajah se Aap kuchh arsa beemaar rahe.nnHazrat Allama Maulana Muhammad Noor-bakhsh Tawakkali rahmatullahi alaihi ka wisaal 13 Jamaadi ul awwal 1368 Hijri (24 March 1948 A.D.) ko hua.nnHazrat Allama Maulana Muhammad Noor-bakhsh Tawakkali rahmatullahi alaihi ka mazaar Lalpur, Faisalabad (Pakistan) me hai.nnALLAH ta?ala us ke Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe menAur Hazrat Allama Maulana Muhammad Noor-bakhsh Tawakkali rahmatullahi alaihi aur tamaam Auliya Allah ke waseele senSab ko mukammal ishq e Rasool ata farmaye aur Sab ke Imaan ki hifazat farmaye aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmaye.nAur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmaye aur Sab ki nek Jaayiz muraado ko puri farmaye.nnAmeen

Share your love