Laqab: Shaah Abdaal.nnHazrat Sayyed Meeran Husaini Qadri Hamawi Baghdadi rahmatullahi alaihi ki wiladat 960 Hijri (1553 A.D.) me Hama me hui.nnHazrat Sayyed Meeran Husaini Qadri Hamawi Baghdadi rahmatullahi alaihi ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Shaah Mas’ood Hasan Qadri al-Hamawi bin Sayyed Jalaal-ud-deen rahmatullahi alaihi hai.nnHazrat Sayyed Meeran Husaini Qadri Hamawi Baghdadi rahmatullahi alaihi Hasani Saadaat hain.nnAur Hazrat Ghaus e azaam Shaikh Sayyed Abdul Qaadir Jilani radiy-Allahu ta?ala anhu ki nasl se hain.nnHazrat Sayyed Meeran Husaini Qadri Hamawi Baghdadi rahmatullahi alaihi ne apne apne waalid se ta?aleem haasil ki.nnAap bachpan se hi Mujaahida karte rehte the.nnKhirqa e Khilafat haasil karne ke baad Hazrat Sayyed Meeran Husaini Qadri Hamawi Baghdadi rahmatullahi alaihi ne ta?aleem e deen karna shuru kiya.nnAap apne saathiyo ke saath isha?at e Islam ke liye safar karke Golkonda tashreef laaye aur Malkapur ke qareeb ek masjid me qayaam pazeer hue aur ta?aleem wa faiz ata farmaate rahe.nnAap aksar waqt ibaadat o riyaazat aur zikr o shagal me guzaarte aur namaz e tahajjud paabandi se ada karte.nKisi se kuchh lete nahi.nHaajatmando ko madad farmaate.nnKaraamat:nnEk martaba Aapko aur aapke 100 saathiyo ko 3 din tak kuchh khaane ke liye na mila. Chauthe din Sultaan Mohammad Quli Qutub Shaah ne Istaqlaal Khan ke saath khaane ki alag alag cheezo ke 50 tabaaq bheje.nnSab ne pait bharkar khaana khaaya.nnPhir Aapne un tabaaq ko dhank kar waapas bheja.nnShaahi baawarchi khaane me jab Sultaan ke khaadimo ne un tabaaq ko khola to dekha ke saare tabaaq waise hi bhare hue hain aur kuchh bhi kam nahi hua hai.nnYeh dekhkar Istaqlaal Khan fauran Hazrat ki khidmat me haazir hua aur Aapka mureed bankar aapki khidmat me hi rehne laga.nnAap (apne waalid) Hazrat Sayyed Shaah Mas’ood Hasan Qadri al-Hamwi rahmatullahi alaihi ke mureed aur khalifa hain.nnHazrat Sayyed Meeran Husaini Qadri Hamawi Baghdadi rahmatullahi alaihi ka wisaal 13 Jamaadi ul awwal 1049 Hijri (September 1639 A.D.) ko hua.nnHazrat Sayyed Meeran Husaini Qadri Hamawi Baghdadi rahmatullahi alaihi ka mazaar Langar Hauz, Rahmatabad, Hyderabad (Telangana) me hai.nnALLAH ta?ala uske Habeeb Sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe menAur Hazrat Sayyed Meeran Husaini Qaadri Hamawi Baghdadi rahmatullahi alaihi aur tamaam Auliya Allah aur Ahle bait ke waseele senSab ko mukammal ishq e Rasool ata farmaye aur Sab ke imaan ki hifazat farmaye aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmaye.nAur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmaye aur Sab ki nek Jaayiz muraado ko puri farmaye.nAameen.