Agar Koi Shakhs Manqabat Ya Naat Shareef Ke Sher Mein

Words Change Karke Dusre Kisi Ka Naam Daal de Jo Ek Aam Insan Ho.

To Uspar Kya Hukm Hoga. Kya Aisa Karna Thik Hai?

Jawab:

Naat Shareef Mein Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sana Aur Manqabat Mein Auliya E Kiraam Ki Tareef Ki Jaati Hai.

Jiske Wo Laayeq Hain.

Ab Agar Is Jagah Kisi Aam Insan Ka Naam Daal Diya Jaayein.

To Ye Khiyaanat Hai Aur Agar Us Tareef Ke Laayeq Nahi To Na Jaayez O Haraam Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love