Mazarat e auliya Par aurto Ki Hazri Najayez Hai

But Agar Mazar Sharif Kisi Ladies (aurat) Ka Ho Tab Bhi Jana Najayez Hai?

Aurato Ka Qabro Par Jaana Ikhtelaafi Mas’la Hai, Aksar Ahl-E-Ilm Ise Haraam, Ya Makrooh E Tahreemi Kahte Hain, Ye Ikhtelaaf Yu Paida Hua Ke Ek Zamaane Mein Qabro Par Jaana Sab Ko Mana Tha.

Mardo Ko Bhi Aur Aurato Ko Bhi. Baad Mein Huzoor Pur Noor ﷺ Ne Is Ki Ijazat Ata Farma Di Aur Irshad Farmaya: “Qabro Ki Ziyarat Kiya Karo, Wo Akhirat Ki Yaad Dilaati Hain”.

Jo Hazrat Qabro Par Jaane Ko Jaayez Rakhte Hain, Unka Kehna Hai Ke Ye Ijazat Jo Huzoor ﷺ Ne Ataa Farmaayi, Mardo Aur Aurato Sab Ko Shamil Hai. Aur Jo Hazraat Najayez Kehte Hain Unka Istedlal Ye Hai Ke Huzoor ﷺ Ne Aisi Aurato Par Laanat Farmayi Hai Jo Qabro Ki Ziyarat Ke Liye Jaayein, Lehaza Qabro Par Jana Unke Liye Mamnol Aur Moojib E Laanat Hoga.

Aur Ulama Ye Bhi Farmate Hain Ke Auratein Ek To Shara’i Masail Se Kam Waqif Hoti Hain, Dosre Unme Sabr, Hausla Aur Zabt Kam Hota Hai. Isliye Unke Haq Mein Gaalib Andesha Yahi Hai Ke Ye Wahan Jaa Kar Cheekh Pukaar Karengi, Be-Pardagi Hogi, Ya Koi Bidat Khadi Karengi, Shayed Isi Andeshe Ki Bina Par Huzoor ﷺ Ne Unke Qabro Par Jaane Ko Moojib E Laanat Farmaya. Huzoor Sadrush Shariah Irshad Farmate Hain:

Mazhab E Saheeh Ye Hai Ke Hadees “لعن الله زوارات القبور” Mansookh Hai Ye Hukm Muqaddam Hai Aur Dosri Hadees, Jisme Ziyarat E Qubor Ki Ijazat Hai Wo Muta’kkhar O Naasikh Hai.

Wo Hadees Ye Hai “كنت نهيتكم عن زيارة القبور الا فزوروها” Is Hadees Mein Agarche Segha Muzakkar Hai, Magar Ye Amr Muqarrar Aur Saabit Hai Ke Khitabaat E Shara’iyyah Mein Agarche Segha Muzakkar Hai Auratein Bhi Isme Dakhil Hain Jab Tak Daleel E Shara’i Se Rijaal Ki Khususiyat Saabit Na Aur Hadees “النساء شقائق الرجال” Iski Kashif Hai.

Lehaza Ziyarat E Quboor Se Aurato Ko Murtakib E Fel’e Haraam Nahi Kaha Jayega. Agarche Hamare Nazdeek Aslam Tareeqa Ye Hai Ke Aurato Ko Ziyarat E Quboor Se Mana Kiya Jaayein. Kyuke Unme Ifraat O Tafreet Ka Maaddah Gaalib Hai Aur Surat E Mas’oola Mein Hijab Aur Adaab E E’zaaz Ka Pura Lehaz Kiya Gaya Hai.

Lehaaza Hukm Mein Aur Mazeed Khiffat Paida Ho Gayi.

Fatawa Amjadia Jild 1 Safah 327

Huzoor Sayyedi Ala Hazrat Imam Ahmad Raza Farmate Hain: “Meri Raaye Is Masle Mein Khilaaf Par Hai, Muddat Hui Mera Fatwa Tohfa E Hanafiyya Mein Chhap Chuka, Mai Us Rukhsat Ko Jo Bahr Ur Raayeq Mein Likhi Maan Kar Nazr Ba Halaat E Nisaa Siwa E Hazri E Rauza E Anwar Ke Ke Waajib, Ya Qareeb Ba Waajib Hai.

Mazarat E Auliya Ya Deegar Quboor Ki Ziyarat Ko Aurato Ka Jaana Ba Itteba E Guniya Allama Muhaqqiq Ibraheem Halabi Har Giz Pasand Nahi Karta Khususan Is Tufaan E Be Tameezi Raqs O Mazameer O Surood Mein Jo Aaj Kal Johhaal Ne A’raas E Tayyeba Mein Barpa Kar Rakha Hai Iski Shirkat To Mai Awaam E Rijaal Ko Bhi Pasand Nahi Rakhta Na Ke Wo Jin Ko Anjasha Radi-Allahu Ta’ala Anh Ki Hadi Khwani Ba Ilhaan E Khush Par Aurato Ke Saamne Mumaana’at Farma Kar Unhe Nazuk Sheeshiyaan Farmaya Gaya”.

Fatawa Razaviyyah Mutarjam Jild 23 Safah 111

Lehaza Mazkoora Baala Aqwaal E Foqaha Se Ye Saabit Ho Gaya Ke Aurato Ke Mazarat Par Jaana Fi Zamaanina Najayez O Haraam Hai Aur Iski Mumaana’at Mahram O Gair Mahram Ki Buniyaad Par Nahi.

Balke Unki Parda Nasheeni Aur Aaj Kal Hone Waale Khoraafaat O Bad Tameezi Ki Buniyaad Par Hai.

Wa-Allahu Ta’ala A’lam

Share your love