Kyu ki Azhari unhe kahte hai jo Jamia Azhar misr se farig hote hai.
To kya huzur Tajushshariah ke mareedo ka apne naam ke sath AZHARI lagana Durust hoga?
Jawab:
Log Nisbat ki buniyad par Lagate hain is ka hukm wujoobi nahi hai Aur na hi Jamia Azhar ke sath khas ho gaya.
Aur khusoosan hindustan mein Maujooda daur mein azhari kehlaane wale ke baare mein Umooman Yahi jante hain ke Huzoor Tajushshariah se Mureed hai.
Lehaza azhari kehne mein koi harj nahi.
Haan jahan Logo ko eteraz ho, to Razvi Istemal karein.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi