Islam me Iski asl haqiqat kya hai.nnJawab :nnMustaqil taur par Wiladat na hone ke liye operation karana haraam hai.nnJabke koi uzr e sharai na ho.nnAur iska haraam hona kai wujuhaat ki wajah se hai.nnIsme Allah ki paida ki hui cheez ko badalna hai, aur ye Quran O Hadees ki Nass se najaayez o haraam hai.nnQuran e Azeem me hai.nn?????????????????? ???????????????? ?????? ??????? ? ????? ????????? ???????????? ???????? ???? ????? ??????? ?????? ?????? ?????????? ?????????nn4-An-Nisa : 119nnYaani shaitan bola mai unko behkaunga to wo Allah Ta’ala ki paida karda cheezo ko badlenge.nnBukhari o Muslim ki hadees hai.nn“Allah ki La’nat un aurato par jo Allah ki paida ki hui cheez (jism ki qudrati banawat) ko badalne wali ho.nnMazeed ye ke isme insan ki ek rag ya jism ke ek uzw (hisse) ko kaata jaata hai aur be-zarurat e sharai dosre ke samne satr e galeez khola jata hai aur usko dosra Shakhs Chhoota (touch) bhi hai. Aur ye sab baatein bhi haram hain.nnAl Haasil nasbandi aur operation shariat e islamia me hargiz jaayez nahi.nnLehaza isse nafrat o ehteraz lazim hai.nnWa-Allahu Ta’ala A’lamnnMulakkhas az Fatawa Mustafawiyyahnn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????