Ek shakhs ka inteqal hogaya. Us shakhs ke 2 bete aur 3 betiyan thi

Jin mein se dono beto ka inteqal us shakhs ke inteqal se pehle hogaya. Yaane sirf teen betiyan bachi hai abhi.

Toh hazrat ab us shakhs ke maal ka kaisa hissa kiya jaayega aur kisko kitna hissa milega.

Aur kya kuch hissa us shakhs ke nawasa nawasi ya naati pote ko milega?

Jawab:

Marhoom ke tarke se 2 tihaai teeno Betio mein taqseem hoga aur baqiya pote potio ko.

Is tarah ke poti ko pote ka aadha milega.

Tafseel ke liye sawal tafseel se likhein.

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love