Jawab:nnAalahadrat Azeemul Barkat Sayyedna Imam Ahmad Raza Fazil e Barielwi Quddisa sirruhul Azeez se Daryaft kiya gaya ke jawab e salam o kuffar o hanaadik (Hinduism) kin alfaz mein diye jaayein aur khud bhi zarurat o be’zarurat unko salam karein, to kis taur se?nnIske jawab mein Aap Tahreer farmate hain “kafir ko be’zarurat ibteda ba salam naa jaayez hai.” ?? ???? ?? ?????? ??????nnAur hindustan mein wo tareeq e tahiyyat jaari hain ke ba’zarurat bhi unhe salam e shara’i karne ki hajat nahi.nnMaslan yahi kaafi ke Lala saab, babu saab, munshi saab, ya be sar jhukaaye sar par hath rakh lena wagaira zaalik.nnKaafir Agar be lafz e Salam salam karein, to aise hi alfaz e raayeja jawab mein bas hain aur ba lafz e salam ibteda karein, to ulama farmaate hain jawab me wa alaik kahe.nnMagar ye lafz yahan makhsoos ba ahle islam thehra hua hai aur wo kafir bhi ise jawab e salam na samjhega.nnBalke apne sath istehza khayal karega, to jis lafz se munaasbat jaane jawab de le, agarche salam ke jawab mein salam hi keh kar.n(Fatawa Razviya)nnLehaza ba’darja e majburi namaste, ya namaskar bol sakta hai.nnLekin Yu hi bila zarurat kehna naa jaayez hai.nnBachna behtar hai Aur jabke iska Maana ye ho ke Mai Sar jhukaata hu Tumhare liye, to aisa Kehne se mana kiya jaayega.nnJab usne sar jhukaaya nahi sirf kaha hai aur awam iska matlab bhi nahi jaanti, to sakht hukm na hoga.nnWa-Allahu Ta’ala A’lamnn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????