Kya Ala Hazrat Quds Sira Bedari Ki Halat Me Ziyarat E Aqdas ? Se Mushraf Hue Hai ?

Ek Waiz Ne Ek Waqiah Bayan Kiya Ke Ala Hazrat Maulana Ahmad Raza Khan Rehamtullah Alaih Barelvi Madina Munawara Tashrif Le Gaye.nnTo Huzur E Akram ? Ke Roza Aqdas Par Hazri Di.nnSarkar E Madina ? Ne Mazar E Anwar Se Dast E Mubarak Nikal Kar Ala Hazrat Se Musafa Kiya, Kya Yeh Durust Hai ?nn2) Wo Kaun Naujawaan The Jinke Dhadhi Me Sirf Ek Baal The Aur Wo Hazir E Darbar Hote Rahte The.nnEk Din Wo Baal Munda Kar Hazir E Darbar Hue, Sarkar E Madina ? Ne Munh Pher Liya, Jab Unhone Israr Kiya To Sarkar Ne Farmaya: “Tumhari Dhadhi Ke Is Baal Par Farishtein Jhula Karte The, Aaj Na Paa Raha Hun ?”nnJawab:nn1) Waiz Ne Jo Waqiah Bayan Kiya Wo Mukmal Nahi.nnWaqiyah Yeh Hai Ke Mujjadeed E Azam Ala Hazrat Quds Sira Ne Bargah E Aqdas ? Me Arz Kiya Ke Khawab Me Sarkar Ne Baarhaa Ziyarat Se Mushraf Farmaya Hai.nnBedari Me Ek Baar Mushraf Farmaye, Kai Baar Darkhawast Paish Ki, Yeh Sharf Hasil Na Huwa, Bil Aakhir Mashur Nazam Likhi.nnWo Sue Lalazaar Phirte Hai, Tere Din Aey Bahar Phirte Hai.nnPuri Nazm Likh Kar Bargah Me Paish Ki To Sarkar E Madina ? Ne Karam Farmaya, Bedari Ke Alam Me Sarkar E Madina ? Ne Jalwa Dikhaya Aur Ala Hazrat Quds Sira Ne Dast Bhosi Farmayi.nnYeh Waqiah Arifbillah Hazrat Maulana Ziya Ul Din Sahab Muhajir Madni Rehamtullah Alaih Ne Saikdo Admiyon Se Bayan Farmaya, Jin Me Se Kam Az Kam 10 Admiyon Se Maine Suna, Sharan Is Me Koi Ist’abad Nahi.nnWallahu Ta’la Allam.nn2) Yeh Riwayat Meri Nazar Se Nahi Guzri.nnWallahu Ta’la Allam.nnFatwa E Shareh Bukhari Jild 3 Safah 468

Share your love