Tohmat Lagana Kaisa Or Us Shakhs Ke Upar Shariyat Ka Kya Hukm Hai.

Jo Apne Maa Baap Ko Dukh Pahunchaye Aur Kisi Sunni Musalman Ka Dil Dhukhana Kaisa Hai.

Quran Wa Hadees E Mubaraka Ke Hawale Ke Saat Jawab Mil Jaayein To Badi Maherbani Hogi.

Jawab:

1) Tohmat Lagana Gunaah E Kabeera Hai Aur Iski Aur Bhi Aqsaam Hai. Jaise Bohtaan Tarashi, Le’aan Wagairah. Har Qism Ka Shariat Mein Alag Alag Hukm Hai Aur Ye Sari Aqsaam Gunah E Kabeera Hai.

2) Irshad E Baari Ta’ala Hai.

ﻭَﻗَﻀٰﻰ ﺭَﺑُّﻚَ ﺍَﻟَّﺎ ﺗَﻌْﺒُﺪُﻭْٓﺍ ﺍِﻟَّﺎٓ ﺍِﻳَّﺎﻩُ ﻭَﺑِﺎﻟْﻮَﺍﻟِﺪَﻳْﻦِ ﺍِﺣْﺴَﺎﻧًﺎ ۭ ﺍِﻣَّﺎ ﻳَﺒْﻠُﻐَﻦَّ ﻋِﻨْﺪَﻙَ ﺍﻟْﻜِﺒَﺮَ ﺍَﺣَﺪُﻫُﻤَﺎٓ ﺍَﻭْ ﻛِﻠٰـﻬُﻤَﺎ ﻓَﻠَﺎ ﺗَـﻘُﻞْ ﻟَّﻬُﻤَﺎٓ ﺍُﻑٍّ ﻭَّﻟَﺎ ﺗَﻨْﻬَﺮْﻫُﻤَﺎ ﻭَﻗُﻞْ ﻟَّﻬُﻤَﺎ ﻗَﻮْﻟًﺎ ﻛَﺮِﻳْﻤًﺎ

Imam Qartabi Farmate Hain Ke Is Aayat Mein Haq Ta’ala Ne Waalidain Ke Adab O Ehteram Aur Unke Sath Achcha Sulook Karne Ko Apni Ibaadat Ke Sath Mila Kar Wajib Farmaaya Hai.

Jaisa Ke Surah Luqman Mein Apne Shukr Ke Sath Waalidain Ke Shukr Ko Mila Kar Laazim Farmaya Hai.

ﺍَﻥِ ﺍﺷْﻜُﺮْ ﻟِﻲْ ﻭَﻟِﻮَﺍﻟِﺪَﻳْﻚَ.

Isse Saabit Hota Hai Ke Allah Jalla Shaanuh Ki Ibaadat Ke Baad Waalidain Ki Itaa’at Sab Se Ahem Hai.

Sahih Bukhari Ki Ye Hadees Bhi Isi Par Shahid Hai Jisme Hai Ke:

“Rasool E Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Se Ek Shaks Ne Sawaal Kiya Ke Allah Ke Nazdeek Sab Se Zyaada Mahboob Amal Kya Hai?

Apne Irshad Farmaya Ke Namaz Apne Waqt Mein,

Usne Phir Daryaaft Kiya Ke Uske Baad Kaun Sa Amal Sabse Zyada Mahboob Hai?

Apne Farmaya: “Waalidain Ke Sath Achcha Sulook”.

Rasool E Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Ke Allah Ki Raza Baap Ki Raza Mein Hai Aur Allah Ki Naarazgi Baap Ki Naraazgi Mein. (Hakim) Ek Shaks Ne Rasool E Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Se Daryaaft Kiya Ke Aulaad Par Maan Baap Ka Kya Haq Hai?

Apne Irshad Farmaya: Wo Dono Teri Jannat Hain, Ya Jahannam. (Ibn E Maaja) Yaani Unki Itaa’at O Khidmat Jannat Mein Le Jaati Hai Aur Unki Be Adabi Aur Narazgi Dozakh Mein.

Rasool E Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Jo Shaks Allah Ke Liye Apne Maan Baap Ka Farmaan Bardar Raha Uske Liye Jannat Ke 2 Darwaaze Khule Rahenge Aur Jo Ke Naa Farmaan Ho Uske Liye Jahannam Ke 2 Darwaaze Khule Rahenge Aur Agar Maan Baap Mein Se Koi Ek Hi Tha.

To Ek Darwaaza (Jannat, Ya Dozakh Ka Khula Rahega).

Is Par Kisi Ne Sawal Kiya Ke (Ye Jahannam Ki Wa’eed) Kya Us Surat Mein Bhi Hai Ke Maan Baap Ne Us Shaks Par Zulm Kiya Ho?

To Apne 3 Martaba Farmaaya: وان ظلما وان ظلما وان ظلما (Yaani Maan Baap Ki Na Farmani Aur Unki Eiza Risaani Par Jahannam Ki Wa’eed Hai Khwah Maan Baap Ne Hi Larke Par Zulm Kiya Ho) (Baihaqi)

Jiska Haasil Ye Hai Ke Aulaad Ko Maan Baap Se Inteqaam Lene Ka Haq Nahi Ke Unho Ne Zulm Kiya, To Ye Bhi Unki Khidmat O Itaa’at Se Hath Kheech Le.

Waalidain Ki Haq Talfi Ki Saza Aakhirat Se Pehle Duniya Mein Bhi Milti Hai.

Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Wo Sab Gunaaho Ki Saza To Allah Ta’ala Jise Chahta Hai Qiyamat Tak Muakkhar Farma Deta Hai.

Lekin Waalidain Ki Haq Talfi Aur Naa Farmani Ki Saza Aakhirat Se Pehle Duniya Mein Bhi Di Jaati Hai. (Baihaqi)

Waalidain Ko Takleef Ek To Is Tarah Hai Ke Khud Apne Hatho, Harkato Aur Baato Se Apne Waalidain Ko Eiza Pohchaai Jaayein. Iska Qabeeh Aur Haraam Hona To Zaahir Hi Hai.

Aur Ek Ye Hai Ke Khud To Takleef Na De Balke Eiza Ka Sabab, Ya Zariya Ban Jaayein.

Islam Mein Ye Bhi Haraam Aur Sakht Gunaah Hai. Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya: Kabeera Gunaaho Mein Se Ye Bhi Hai Ke Insan Apne Maan Baap Ko Gaali De.

Haazireen Ne Arz Kiya Ke Kis Tarah Koi Shaks Apne Maan Baap Ko Gaali Dega?

Aap Ne Irshad Farmaya (Iski Surat Ye Hai Ke) Koi Aadmi (Kisi Ke Maan Baap Ko Gaali De) Phir Wo (Jawab Mein) Uske Maan Baap Ko Gaali De. (Tirmizi)

Is Hadees Shareef Ka Matlab Ye Hai Ke Gaali Dene Waale Ne Apne Maan Baap Ko Khud To Gaali Na Di.

Lekin Chunke Dosre Se Gaali Dilwaane Ka Zariya Ban Gaya.

Isliye Khud Gaali Dene Waalo Mein Shumar Ho Gaya. Isko Huzoor E Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Kabeera Gunaaho Mein Shumar Farmaaya.

Isse Samajh Liya Jaaye Ke Jo Shakhs Apne Maan Baap Ko Khud Apni Zabaan Se Gaali Dega Zaahir Hai Ke Uska Gunaah Aam Kabeera Gunaaho Se Barh Kar Hoga.

Sahaba E Kiraam Ko Ye Baat Ta’jjub Ki Maloom Hui Ke Koi Shaks Apne Waalidain Ko Gaali De.

Unke Ta’jjub Par Huzoor E Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Gaali Ka Zariya Aur Sabab Banne Wali Surat Bataai Jo Us Zamaane Mein Na Sahi.

Magar Aainda Pesh Aane Waali Thi.

Hamare Is Daur Mein To Aise Bad Bakht Log Bhi Maujood Hain Jo Khud Apni Zabaan Se Maan Baap Ko Gaali Dete Hain Aur Bure Alfaz Aur Bure Alqaab Se Yaad Karte Hain.

Al Amaan Wal Hafeez

3) Irshad E Baari Ta’ala Hai:

ﻭَﺍﻋْﺒُﺪُﻭﺍ ﺍﻟﻠَّـﻪَ ﻭَﻟَﺎ ﺗُﺸْﺮِﻛُﻮﺍ ﺑِﻪِ ﺷَﻴْﺌًﺎۖ ﻭَﺑِﺎﻟْﻮَﺍﻟِﺪَﻳْﻦِ ﺇِﺣْﺴَﺎﻧًﺎ ﻭَﺑِﺬِﻱ ﺍﻟْﻘُﺮْﺑَﻰٰ ﻭَﺍﻟْﻴَﺘاﻣَﻰٰ ﻭَﺍﻟْﻤَﺴٰﻛِﻴﻦِ ﻭَﺍﻟْﺠَﺎﺭِ ﺫِﻱ ﺍﻟْﻘُﺮْﺑَﻰٰ ﻭَﺍﻟْﺠَﺎﺭِ ﺍﻟْﺠُﻨُﺐِ ﻭَﺍﻟﺼَّﺎﺣِﺐِ ﺑِﺎﻟْﺠَﻨﺐِ ﻭَﺍﺑْﻦِ ﺍﻟﺴَّﺒِﻴﻞِ ﻭَﻣَﺎ ﻣَﻠَﻜَﺖْ ﺃَﻳْﻤَﺎﻧُﻜُﻢْۗ ﺇِﻥَّ ﺍﻟﻠَّـﻪَ ﻟَﺎ ﻳُﺤِﺐُّ ﻣَﻦ ﻛَﺎﻥَ ﻣُﺨْﺘَﺎﻟًﺎ ﻓَﺨُﻮﺭًﺍ۔

Ek Hadees E Paak Ka Maf’hoom Hai ”Musalman Wo Hai Jiske Hath Aur Zaban Se Dosre Musalman Mahfooz Rahein” Isi Tarah Ek Martaba Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: “Allah Ki Qasam Wo Momin Nahi”.

Isi Tarah 3 Baar Farmaya: Daryaaft Kiya Gaya Ya Rasoolallah! Kaun?

Farmaya: “Wo Shaks Jiski Shararato Se Uska Padosi Mahfooz Nahi” Lafz E Padosi Ma’nawiyat Ke Etebar Se Bada Wasee Lafz Hai.

Urf E Aam Mein To Isse Muraad Aise Log Hain Jinke Ghar Apke Ghar Se Muttasil Ya Qareeb Hote Hain.

Lekin Wasee Tar Ma’no Mein Padosi Aur Pados Ka Itlaaq Har Us Jaga Par Kiya Jaata Hai Jahan Jahan Apka Wajood Hota Hai.

Maslan Karobar Ki Jagah, Daftar, Dukaan, Karkhana, Bazaar, Safar, Masjid, Darsgaah Wagaira.

Phir Isse Aage Ek Gaaon Dosre Gaaon Ka, Ek Shaher Dosre Shaher Ka Aur Ek Mulk Dosre Mulk Ka Padosi Kehlaayegi.

Wa-Allahu Ta’ala A’lam

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love