Zaid Ek Alim E Deen Hanfi Maslak Ka Hai, Magar Awam Ke Samne Apne Aapko Maslak E Ala Hazrat Ka Paband Kahta Hai Aur Deeni Jalso Mein Maslak E Ala Hazrat Zindabad Ka Nara Lagata Hai Aur Awam Bhi Maslak E Ala Hazrat Ka Nara Lagati Hai.
Amar Kahta Hai: Alim E Deen Aur Awam Ko Maslak E Ala Hazrat Ka Nara Lagana Makrooh Aur Shariyat Ke Khilaaf Aur Humare Charo Imamo Ke Maslak Ke Bhi Khilaaf Hai.
Kyun Ke Charo Imamo Ke Maslak Ke Siwa 5va 6tha Ya 7va Koi Maslak Nahi.
Agra Humare Charo Imamo Ke Maslak E Siwa Koi Hota To Maslak E Gaus E Azam Hota, Maslak E Garib Nawaz Hota, Maslak E Mujjadeed E Alfsaani Hota.
Bakar Kahta Hai: Maslak E Ala Hazrat Kahna Ya Nara Maslak E Ala Hazrat Zindabad Lagana Bilkul Durust Hai.
Koi Makrooh Khilaaf E Sharah Nahi Aur Na Hi Charo Imamo Ke Maslak Ke Khilaaf Hai.
Maslak Ka Mani Hai Rah E Rasta Ya Tariqa.
Maslak E Ala Hazrat Huwa Ala Hazrat Ka Rasta Aur Maslak E Ala Hazrat Humare Hi Imamo Ka Maslak Hai Aur Maslak Nahi Aur Aqaid Bhi Alag Nahi.
Mufti Sahab Adban Guzarish Hai Ke Amar Ka Qaul Sahi Hai Ya Bakr Ka Qaul Sahi Hai.
Dalail Ki Roshni Mein Jawab Inayat Farmaye.
Jawab:
Zaid Aur Bakar Ka Qaul Sahi Aur Haq Hai Aur Amar Jo Kuch Kahta Hai Galat Aur Batil Hai.
Amar Ya To Jahil Hai Ke Use Samajh Nahi.
Ya Wo Hasid Aur Anad Ka Shikar Hai.
Aajkal Ahle Sunnat Ko Is Zamana Ke Gumrah Firqo Se Mumtaz Karne Ke Liye Siwa E Maslak E Ala Hazrat Ke Aur Koi Lafz Fit Nahi.
Maslak E Ala Hazrat Islam Aur Ahle Sunnat Wa Jammat Aur Charo Imamo Ke Mazhab Ke Siwa Aur Koi Chiz Nahi.
Mujjadeed E Azam Ala Hazrat Quds Sira Ne Is Mazhab E Islam Aur Ahle Sunnat Wa Jamat Ko Jo Huzur Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Se Aaj Tak Mairas Chala Aa Raha Hai, Apni Tahrir O Taqrir Se Waje Kiya.
Ise Phailaya, Iski Taid Wa Himayat Mein Dalail E Qaym Farmaya Jiski Nazir Mazi Qarib Mein Nahi.
Puri 14vi Sadi Mein Koi Aisa Nahi Jisne Islam Wa Sunniyat Ki Himayat Wa Nusrat Mein Ala Hazrat Quds Sira Ke Muqable Mein Ashir Aishr Bhi Kiya Ho.
Maslak E Ala Hazrat Maslak E Aima Bhi Hai.
Maslak E Gaus E Azam Bhi Hai, Hazrat Mujadeed E Alsafni Bhi.
Unke Mazhab Wa Maslak Arbi, Farsi Ki Kitabo Mein They Un Sab Ko Ala Hazrat Quds Sira Ne Urdu Mein Muntqil Farmaya Aur Uski Isha’at Ki.
Deobandi, Maududi, Sulahkulli Bhi Yeh Kahte Hai Ke Hum Aima Arba Aur Hazrat Gaus E Azam Aur Hazrat Gareeb Nawaz, Hazrat Mujadeed E Alfsaani Rehmatullah Ke Maslak Par Hai.
Is Wajah Se Koi Agar Apne Aapko Yeh Kahe Ke Main Maslak E Guas E Azam, Maslak E Gareeb Nawaz, Maslak E Mujadeed E Alfsaani Ka Paband Ho To Imtiyaz Nahi Ho Payega Ke Sunni Hai Ke Deobandi Hai Ke Maududi Hai Ke Sullahkulli.
Lekin Agar Koi Yeh Kahta Hai Ke Main Maslak E Ala Hazrat Ka Paband Hu To Imtiyaz Ho Jata Hai.
Taibeen Ho Jati Hai Ke Yeh Shakhs Sunni Sahi Ul Aqeedah Hai.
Na Deobandi Hai, Na Maududi Hai, Na Wahabi Hai, Na Sullakuli Hai.
Isliye Maujuda Daur Ke Baad Mazhabo Se Apne Aap Ko Mumtaz Karne Ke Liye Yeh Kahna Main Maslak E Ala Hazrat Par Hu, Zaroori Wa Lazim Hai.
Is Par Aitraz, Ya To Jahalat Hai, Ya Hasad Aur Anaad.
Mukhtasar Yeh Ke Ahle Sunnat Wa Jamaat Ko Maujda Daur Ke Badmazhabo Se Mumtaz Karne Ke Liye Siwa E Maslak E Ala Hazrat Ke Aur Koi Lafz Nahi.
Wallahu Ta’la Allam.
Fatwa E Shareh Bukhari Jild 3 Safah 387