Kya Alim Be Amal Ki Tauheen Bhi Kufr Hai ?

Jawab:nnBa-Sabab E Ilm E Deen Alim Be-Amal Ki Tauheen Karna Bhi Kufr Hai.nnAlim Be-Amal Bhi Ilm E Deen Ki Wajah Se Jahil Ibadat?Guzaar Se Ba?Darjaha Afzal O Behtar Hai.nnMere Aaqa Aala Hazrat Imam E Ahle Sunnat Maulana Shah Imam Ahmad Raza Khan (???? ???? ????) Farmate Hain Aur Quran Sharif Unhe (Yaani Ulama E Haq) Ko Mutlaqan Waris Bata Raha Hai.nnHatta Ke Un (Me) Ke Be Amal (Alim) Ko Bhi, Yaani Jabke Aqaid E Haq Par Mustaqeem (Yaani Sahi Ul Aqeeda Sunni) Aur Hidayat Ki Taraf Daee (Bulane Wala) Ho Ke Gumrah (Alim) Aur Gumrahi Ki Taraf Bulane Wala (Maulvi) Waris E Nabi Nahi Nayeb E Iblees Hai.n?????????? ?????? ??????nnHaan Rab ? Ne Tamam Ulama E Shariyat Ko Kaha?n Waris E Ambiya Farmaya Hai ?nnYaha?n Tak Ke Unke Be-Amal Ko Bhi!nnHaan Wo Humse Puchye Maula Farmata Hai.nn????? ??????????? ????????? ?????????? ???????????? ???? ?????????? ? ?????????? ??????? ??????????? ? ?? ???????? ??????????? ? ?? ???????? ???????? ????????????? ???????? ??????? ? ?????? ???? ????????? ???????????nn????? [?????????]nnTarjamah: Fir Humne Kitab Ka Waris Kiya Apne Chune Huwe Bando Ko To Unme Koi Apni Jaan Par Zulm Karta Hai Aur Unme Koi Miyanah Chaal Par Hai Aur Jo ALLAH (?) Ke Hukm Se Bhalaiyo?n Me Sabqat Le Gaya Yahi Bada Fazl Hai. n[Surah: 35 | Ayat: 32]nnMazkura Bala Ayat E Karima Naqal Karne Ke Baad Mere Aaqa Aala Hazrat Imam E Ahle Sunnat Maulana Shah Imam Ahmad Raza Khan (???? ???? ????) Mazeed Farmate Hain Dekho Be Amal (Ulama) Jo Gunaho Se Apni Jaan Par Zulm Kar Rahe Hain Unhe Bhi Kitab Ka Waris Bataya Aur Nira (Yaani Faqat) Waris Hi Nahi, Balke Apne Chune Hue Bando Me Gina.nnAhadees Me Aya Rasool?Allah ? Ne Is Ayat Ki Tafseer Me Farmaya.nnHum Me Ka Jo Sabqat (Bartari) Le Gaya Wo To Sabqat Le Hi Gaya Aur Jo Mutawassit (Yaani Darmiyana) Haal Ka Huwa Wo Bhi Najaat Wala Hai Aur Jo Apni Jaan Par Zalim (Yaani Gunahgaar) Hai Uski Bhi Magfirat Hai.n[????? ????????? ?? ???]nnAlim E Shariyat Agar Apne Ilm Par Aamil Bhi Ho (Jab To Wo Misl) Chand Hai Jo Ke Aap (Khud Bhi) Thanda Aur Tumhe Bhi Roshni De Warna (Aalim Be Amal Misl) Shamma Hai Khud To Jale Magar Tumhe Nafa De.nnRasool?Allah ? Farmate Hain Us Shaksh Ki Misaal Jo Logo Ko Khair (Yaani Bhalai) Ki Taleem Deta Aur Apne Aap Ko Bhool Jata Hai Us Fatile (Yaani Chiragh Ki Batti) Ki Tarah Hai Logo Ko Roshni Deta Hai Aur Khud Jalta Hai.n[Fatawa Razviya/Jild:-21/Page:-530-531]nnPosted By: Razaakaar

Share your love