Masah karne ka Tarika Kya Hai?

Fatwa E Mustafwiyah Ki Ek Ibarar Ki Tawajah

Masla:

Kya farmate hai ulma deen wa muftiyan e Sharah matin masail e mandarja zail mein ke 1 (ek) Kutub E hadees Wa Fiqah mein Sar Ke Masah Karne Ka Masnun Tariqa Yun Bayan kiya Gaya Hai ke Dono Hath Ke anguthe Kalma ki ungliya Chordh kar Baqi Tin Tin Ungliyon ke Sar Ko Mila Kar Peshaani ke baal Ke Aage ki Jagah Par Rakhein Aur Sar Ke upari Hise Par Gadi Tak Ungliyon Mein Pet Se masah Karta Huwa Le Jayein aur Hatheliya Sar Se juda Rahein.

Phir Hatheliya Se Sar Ki Dono Karwato Ka Masah Karte Hue Peshaani Tak Wapas Laye.

Yahi Tariqa Mash’hur Wa Maruf Ulma e Kiram Ka Mamul hai.nnLekin Huzur Mufti E Azam E Hind Allaihirrahma Ne Apne Fatwa Mubarak Mein Tahrir Farmaya Hai Ke Teen Teen Ungliyah Aur Hatheliya Muqdam Raas Se Is Tarah Janib Gardan Le Jaye ke Sar Ke Dono Janib Bhi Puri Hatheliyon Ke Niche Aati Jayein.

To Us Surat Mein Yunhi Pure Sar Ka Masah Ho Gaya, Pichhe Se Aage Lana Bekar Hai Aur ala Yahi Hai.

(Fatwa E Mustafwiyah Jild 2 Safah 60)

Huzur Mufti E Azam Hind Quds Sira Ka Mamul Sharif Isi Masah Karne Ka Tha.nnIs faqir Ka bhi Mushahida Hai Aur Mukrami Janaab Abdul Naeem Azizi Sahab Madzila Ul aali Ne Apni Taalif Masmah Ba Huzur Mufti E Azam e Hind Quds Sira Safa 41 mein Is Mamul Sharif Ka Zikr Bhi Kiya Hai.

Fatwa Mubarak Mein Hadees Wa Fiqah Ki Ibarat Ba Hawala Darj Nahi Hai Aur Sar ke Masah Karne Ka Yahi Tariqa Ala Bhi Farmaya Hai.

Lehaza Is Masla Ko Dalail Se Mazin Farmaye Taake Yeh Masla Khub Achchi Tarah Wajeh Ho Jayein.

Mustfati: Qazi Mohammad Ata ul Haq Usmani Gondwi

Sayyedi Ul Karim Jad Ul Muazam Huzur Mufti E Azam e Hind Quds Sira ul Aziz Ne Jo Farmaya Wahi Azhar Hai Uski Sanad Tabyiyan Wa Hindiya Mein Hai:

Aur Iske Bar Akas Dusra Tariqa Mukhtaar Nahi.

Balke Allama Ibn Alhamaam Ne Farmaya Ke Sunnat Mein Iski Asal Nahi Chunache Radd Ul Mohtar Mein Hai.

Tarjumah

Dono sabaab Aur Abhaam (Shahadat Ki Ungli Aur Anguthe) Ko Bawaqt E Masah Juda Rakhein.

Yani Phaila De Aur Abhaamman (aanguthe) Se Take Unse Kano Ka Masah Karein Aur Hathheli Bhi Phailaye Rahein Taake Usse Sar Ke Kinare Ka Masah Karein Aur Yeh Ehtiyat Isliye Ke Masah Ka Paani Mustmil Na Ho Jayein Aur Fatah Mein kaha Iski Sunnat Mein Koi Asal Nahi.

Isliye Ke Qabl E Ansaal Istemal Sabit Hi Nahi Hota Aur Kaan Sar Hi Hai.

Wallahu Ta’la Allam

Fatwa E TaajhuSariah Jild 3 Safah 22

Share your love