Rajab ke mahine ki fazilat aur dua

Rajab ka maana hai Tazeem karna.

Ahle Arab is mahine ki khaas tazeem kiya karte the.

Rajab ko Al-Asab bhi kehte hain yaani Tez bahaav.

Is Mahe Rajab ke mahine mein Tauba karne walo par Rehmat ka bahaav tez ho jaata aur Ibadat karne walo par Qubooliyat ke anwaar ka Faizaan hota hai.

Is barkat wa rahmat aur fazilat wale mahine mein Shab e Meraj hai.

27wi Rajab ke mahine ki mubarak raat mein ALLAH taala ne apne Habeeb sallallahu alaihi wassallam ko Meraj ata farmayi aur Huzoor sallallahu alaihi wassallam ko La’makaan ki us bulandi par bulaya jiska koi tasawwur bhi nahi kar sakta aur Huzoor sallallahu alaihi wassallam ko Rab taala ne apna deedaar karaya aur Huzoor sallallahu alaihi wassallam se kalaam kiya aur Momino ke liye Namaz ka tohfa ata farmaya.

Mahe Rajab ke mahine ka chand dekhkar Surah-al-Adiyaat padhein:

Bismillah ir-Rahmaanir-Raheem.

Wal-adiyati dab’ha. Fal-mooriyati qad’ha. Fal-mogheerati sub’ha. Fa-asrna bihi naq’a.

Fa-wasatna bihi jam’a. Innal insaana lirabbihi lakanoodu. Wa innahu ala zalika lashaheedu.

Wa innahu lihubbil khayri lashadeedu. Afalaa yaalamu izaa bu’airu maa feel quboor.

Wa hussila maa fees sudoor. Inna rabbahum bihim yawma’izin lakhabeeru.

Phir ye masnoon dua padhein.

Allahumma ahillahu alayna bil amni wal eimaani was salamati wal islami Rabbee wa Rabbuk-Allah hilaalu rushdin wa khayrin.

Tarjuma:

Aye ALLAH is chand [mahine] ko hum par amn aur imaan aur salamati aur islam ke saath, Tera Rab aur mera Rab ALLAH hai, yeh chand hidayat aur khair wala ho.

Translation:

O Allah, let this moon appear on us with security and faith with safety and Islam. (O moon!) Your Rabb and mine is Allah. May this moon be bringing guidance and good.

Jaami Tirmizi, Jild -2, Hadee? -1376/Hasan, Tabarani, Al-Mujam-ul-Awsat, Hadee? -6241

Phir Dua e Mahe Rajab-ul-Murajjab padhein:

Allahumma barik lana fi Rajaba wa Sha’bana wa balligh na Ramadan

Tarjuma:

Aye ALLAH, Hume Mahe Rajab aur Shabaan ki barkate ata farma aur Mah e Ramzan tak pahunchne mein aasaani ata farma.

Translation:

O ALLAH, Grant us blessings in the month of Rajab & Shabaan & make us reach safely the month of Ramadan.

Hadeese Nabawi:

Hazrat Anas bin Maalik radiyAllahu taala anhu se riwaayat hai ki:

Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ne irshad farmaya

Jannat mein ek naher hai jise Rajab kehte hain jo doodh se zyada safed aur shahed se zyada meethi hai. Jo maahe Rajab ke mahine ke Roze rakhega ALLAH taala use is naher se shairaab karega.

Shoab-ul-Eimaan, 3/367

Mahe Rajab ke mahine ke khaas din:

1 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Qutub-ud-deen Maudood Chishti rahmatullahi alaihi (Chisht / Afghanistan).

Yaum e Wisaal Hazrat Peer Sayyed Mahmood Shaah Mohaddees Hazarwi rahmatullahi alaihi (Havelian / Pakistan).

2 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Ghulaam Yaseen Shah-Jamali rahmatullahi alaihi (Sandali, Dera Ghazi Khan / Pakistan).

Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Shaah Ghulaam Muhammad Soofi rahmatullahi alaihi (Durban / South Africa).

Yaum e Wisaal Hazrat Allama Abul Hasanaat Sayyed Mohammad Ahmad Qaadri rahmatullahi alaihi (Lahore / Pakistan).

Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Abdul Haleem Shaah Daatar Bhandaari rahmatullahi alaihi (Ankleshwar, Gujarat).

3 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Imam Sayyed Ali al-Haadi an-Naqi rahmatullahi alaihi (Samarra / Iraq).

Yaum e Wisaal Hazrat Abdus Salaam Qaadri Jilani rahmatullahi alaihi (Baghdad / Iraq).

Yaum e Wisaal Hazrat Haji Noor-ud-deen Shareef Zandani rahmatullahi alaihi (Qunooh / Syria).

Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullahi alaihi (Sindh / Pakistan).

5 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Hasan Basri rahmatullahi alaihi (Basra / Iraq).

Yaum e Wisaal Hazrat Imam-ul-Arus Sayyed Muhammad bin Ahmad Lebbai rahmatullahi alaihi (Kilakari, Tamil Nadu).

6 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Sultaan-ul-Hind Khwaja Ghareeb Nawaz Moeen-ud-deen Hasan Chishti rahmatullahi alaihi (Ajmer, Rajasthan).

Yaum e Wisaal Hazrat Makhdoom Mohammad Haashim Thatthawi rahmatullahi alaihi (Thattha / Pakistan).

7 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Ain-ud-deen Shaami rahmatullahi alaihi.

8 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Shams-ud-deen Tabrizi rahmatullahi alaihi (Khoy / Iran).

Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Faiz Muhammad Chishti Shah-Jamali rahmatullahi alaihi (Sandali, Dera Ghazi Khan / Pakistan).

Urs Hazrat Hazrat Shaheed Peer Mahmood Shah Bukhari rahmatullahi alaihi (Bhadiyad, Gujarat).

9 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Jamaal-ud-deen Faarooqi Uchi rahmatullahi alaihi (Patan, Gujarat).

Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Gada-ur-Rahman Abbaas rahmatullahi alaihi.

Yaum e Wisaal Hazrat Sarkar e Kalaan Allama Sayyed Shah Muhammad Mukhtar Ashraf al-Ashrafi rahmatullahi alaihi (Kichhauchha, Uttar Pradesh).

10 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Moosa Suhaag rahmatullahi alaihi (Ahmedabad, Gujarat).

11 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Makhdoom Shah Mohammad Munem paak Chishti rahmatullahi alaihi (Patna, Bihar).

Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Abul Husain Ahmad-e-Noori Miyan Barkaati rahmatullahi alaihi (Marehra, Uttar Pradesh).

Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shah Ali Husain Ashrafi rahmatullahi alaihi (Kichhauchha, Uttar Pradesh).

12 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Abbaas ibn Abdul Muttalib radiyAllahu taala anhu (Madeena munawwara).

Yaum e Wisaal Hazrat Maqbool e aalam Sayyed Nizaam-ud-deen Mohammad rahmatullahi alaihi (Ahmedabad, Gujarat).

Yaum e Urs Hazrat Sidi Mubaarak Nob urf e Baava Gor rahmatullahi alaihi (Ratanpur, Gujarat).

Yaum e Wisaal Hazrat Mufti Muhammad Ashraf Chishti Sialwi rahmatullahi alaihi (Pakistan).

13 Rajab

Yaum e Wilaadat Hazrat Ali al-Murtaza radiy-Allahu taala anhu.

Yaum e Wisaal Hazrat Imam Tirmizi rahmatullahi alaihi (Sherobod / Uzbekistan).

Yaum e wisaal Hazrat Khwaja Sayyed Abu Yousuf Chishti rahmatullahi alaihi (Chisht / Syria).

Yaum e Wisaal Hazrat Meer Sayyed Moosa Qadri Jeelaani rahmatullahi alaihi (Baghdad / Iraq).

14 Rajab

Yaum e Wisaal Ummul mo?mineen Hazrat e Zainab binte Jahsh radiyAllahu taala anha (Madeena munawwara).

Yaum e Wisaal Hazrat Ghaazi Sayyed Saalaar Mas’ood rahmatullahi alaihi (Bahraich, Uttar Pradesh).

Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Sayyed Hisaam-ud-deen Jigar sokhta Chishti rahmatullahi alaihi (Sambhar, Rajsthan).

Yaum e Wisaal Hazrat Syyed Beg Mohammad urfe Shaah Bhikan rahmatullahi alaihi (Ahmedabad, Gujarat).

Yaum e Wisaal Hazrat Ghaiban Shaah rahmatullahi alaihi (Rajkot, Gujarat).

Yaum e Wisaal Hazrat Alaawan Shaheed rahmatullahi alaihi (Motha, Gujarat).

15 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Sayyeda Zainab binte Ali radiyAllahu taala anha (Damascus / Syria).

Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Jaafar al-Saadiq rahmatullahi alaihi (Madeena munawwara).

Yaum e Wisaal Hazrat Umar bin Abdul Azeez rahmatullahi alaihi (Aleppo / Syria).

Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Sayyed Haji Hud rahmatullahi alaihi (Patan, Gujarat).

Yaum e Wisaal Hazrat Haji Mohammad Jahaangeer rahmatullahi alaihi (Ajmer, Rajasthan).

16 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Mohaddees e Azam e Hind Sayyed Shaah Muhammad Ashrafi rahmatullahi alaihi (Kichhauchha, Uttar Pradesh).

Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Shams-ud-deen Ghaazi rahmatullahi alaihi (Usmanabad).

Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Ahmad Shah Qadri urfe Nagaarchi Peer rahmatullahi alaihi (Jambur, Gujarat).

17 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Abdul Azeez urfe Urjun Shah Suharwardi rahmatullahi alaihi (Petlad, Gujarat);

18 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Sayyed Sharf-ud-deen Hasan Mash’hadi rahmatullahi alaihi (Bharuch, Gujarat).

Yaum e Wisaal Hazrat Sadr-ul-ulama Tehseen Raza Khan rahmatullahi alaihi (Bareilly, Uttar Pradesh).

20 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Ala-ud-deen Attaar rahmatullahi alaihi (Jafaaniyan / Uzbekistan).

Yaum e Wisaal Hazrat Meer Sayyed Abdul Jaleel Bilgrami rahmatullahi alaihi (Marehra, Uttar Pradesh).

21 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Ahmad bin Idrees al-Fasi rahmatullahi alaihi (Sabya / South Africa).

Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Abu Bakr Tusi urfe Matka Peer rahmatullahi alaihi (Delhi).

Yaum e Wisaal Hazrat Qazi Zia-ud-deen rahmatullahi alaihi (Unnao, Uttar Pradesh).

Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Mohammad Shafi Okarawi rahmatullahi alaihi (Karachi, Pakistan).

22 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Sayyed Deedaar Ali Shah rahmatullahi alaihi (Lahore / Pakistan).

22 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaah Jalaal-ud-deen Hammaad Qadri urfe Maashooq Rabbaani rahmatullahi alaihi (Warangal, Andhra Pradesh).

23 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Imam Shabaab-ud-deen Ahmad ibn Hajar Haithami rahmatullahi alaihi (Makka mukarrama).

24 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Imam Yahya al-Nawawi rahmatullahi alaihi (Nawa / Syria).

Yaum e Urs Hazrat Khwaja Ala-ul-Haq Pandawi rahmatullahi alaihi (Pandua, Bengal).

25 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Imam Sayyed Moosa al-Kaazim rahmatullahi alaihi (Kazimain / Iraq).

Yaum e Wisaal Hazrat Qaazi Sana’ullah Panipati rahmatullahi alaihi.

Yaum e Urs Hazrat Jalaal-ud-deen Shah Qadri rahmatullahi alaihi (Mumbai, Maharashtra).

Yaum e Wisaal Hazrat Shah Abdul Azeez Soofi rahmatullahi alaihi (Durban / South Africa).

26 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Sayyed Fakhr-ud-deen Gurdezi rahmatullahi alaihi (Ajmer, Rajashtan).

Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Muhammad Abdullah urfe Peer Baaro rahmatullahi alaihi.

Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Ali Chishti Tirmizi rahmatullahi alaihi (Buner / Pakistan).

27 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Yousuf al-Hamadani rahmatullahi alaihi (Merv / Turkmenistan).

Yaum e Wisaal Hazrat Junaid Baghdadi rahmatullahi alaihi (Baghdad / Iraq).

Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Sayyed Abu Saaleh Nasr rahmatullahi alaihi (Baghdad / Iraq).

Yaum e Wisaal Hazrat Imam Abu Yousuf rahmatullahi alaihi (Baghdad / Iraq).

Yaum e Wisaal Hazrat Makhdoom Ala-ud-deen Ansaari urfe Laadle Masha’ikh rahmatullahi alaihi (Aland, Karnataka).

Yaum e Wisaal Hazrat Peer Badr-ud-deen Badr-e-Aalam rahmatullahi alaihi (Bihar).

Yaum e Wisaal Hazrat Jannan Shah Tabrizi rahmatullahi alaihi (Velan, Gujarat).

28 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Malik Qutb-ud-deen Suharwardi rahmatullahi alaihi (Ahmedabad, Gujarat).

Yaum e Wisaal Hazrat Sharf-ud-deen Wilaayat Shah rahmatullahi alaihi (Karachi / Pakistan).

Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Hasan Faqeeh rahmatullahi alaihi (Patan, Gujarat).

29 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Muhammad Abdullah Bharchundi rahmatullahi alaihi.

30 Rajab

Yaum e Wisaal Hazrat Imam Shafi’i rahmatullahi alaihi (Fustat / Egypt).

ALLAH taala is Mahe Rajab ke mahine mubarak mein uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe mein aur Ahle bait aur Khwaja Ghareeb nawaz rahmatullahi alaihi aur AuliyaAllah ke waseele se

Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmaye aur Sab ko hidayat ata farmaye aur Sab ke imaan ki hifazat farmaye aur Sahi tareeqe se zyada ibadat karne ki taufiq ata farmaye

Aur Hamare nek amal qubool farmaye aur In buzurgaan e deen ko isal e sawab karne ki taufiq ata farmaye aur Islam ka bolbala ata farmaye.

Aur Sab ko dunya wa aakhirat mein kaamyabi aur izzat ata farmaye aur Sab ki nek jaayiz muraado ko puri farmaye aur Sab ko Ilm mein, Amal me aur Rizq mein barkat ata farmaye.

Aur in baato ko yaad rakhkar us par amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmaye.

Aameen.

Share your love