Salam aur chink ka jawab na dena kaisa?

Khali ishaare se jawab dena kaafi hoga kya?

Jawab:

Salam aur chheenk dono ka jawab dena WAJIB hai aur dono ka jawab inti awaz se diya jayega ki samne wala soon le.

Warna gunahgar hoga aur jawab dene mein bhi der ki to bhi gunahgar aur ishare se jawab kaafi nahi, awaz ke sath hi dena wajib hai.

Bahar e Shariat Jild: 3 Safa: 460

Salam ka jawab fauran dena wajib hai.

Bila wajah takheer ki to gunahgar hoga or ye gunah jawab dene se dafa naa hoga, balki tauba karni hogi.

Bahar e Shariat Jild: 3 Safa: 464

Salam itni awaz se kahe ki jisko salam kiya gaya hai wo soon le, aur agar itni awaz naa ho to jawab dena wajib nahi.

Ungali ya hatheli se salam karna mana hai.

Hadis mein farmaya: ungali se salam karna yahoodiyo ka tariqa hai aur hatheli se salam karna nasara ka?.

Baaz log salam ke jawab mein hath, ya sar se ishara kar dete hai.

Yun jawab nahi hua, unko munh se jawab dena wajib hai.

Kisi ne hath ke ishare se salam kiya to ye salam nahi, naa iska jawab dena wajib.

Magar jab ishare ke sath munh se bhi salam kaha to jawab diya jayega.

Bahar e Shariat Jild: 3 Safa: 476

Chheenk ka jawab dena wajib hai.

Jabki chhenkne wala (Alhumdullillah) kahein, aur iska jawab bhi foran dena aur is tarah dena ki wo soon le wajib hai.

Jis tarah salam ke jawab mein hai yaha bhi hai.

Masail-e-Shariyat, Jild:1, Page:147

Share your love