Hazrat Ne Music Jaise Zikr Ka Naaton Me Istemal Ko Manaa Farmaya Tha

Kya Uske Substitute Me Marhaba Marhaba, Haq Haq Waghaira Alfaaz Background Me Istemal Kar Sakte Hain ?nnJawab:nnBackgrounds Ka Kya Matlab Hai?nnAgar Background Koi Music Hai Aur Us Se Music Jaisi Awaaz Nikalti Hai Marhaba Marhaba, Haq Haq Usi Taur Par Adaa Hoga Jis Taur Par Allah Allah Adaa Hota Hai, Ke Usse Soon Ne Waale Ko Ye Pataa Lagta Hai Jaise Ke Duff Ki Awaaz Hai, Ya Koi Khn-Khn Ki Awaaz Hai.nnIs Taur Par Agar Adaa Kiya Jaaye To Adaa Karna Jayez Nahi Hai Aur Agar Saade Taur Par Beghair Music Ke Andaaz Ke Aur Beghair Music Ki Mushaahbat Ke Music Jaisi Awaaz Paida Naa Ho To Harj Nahi Hai.nnJanasaheen E Mufti E Azam E HindnnHuzoor Tajushshariah Alaihir rahmah war Rizwan

Share your love