Majlis Badalne Aur Na Badalne Ki Surtein Kya Hai?

Jawab:

Do Ek Luqma Khana, Do Ek Ghooñth Peena, Khada Ho Jaana, Do Qadam Chalna, Salam Ka Jawab Dena, Do Ek Baat Karna, Aur Masjid Ya Makan Ke Ek Ghosha Se Doosre Ghosha Ki Taraf Chalna.

In Tamam Surton Mein Majlis Na Badlegi.

Haan agar Makan Bada Hai, Jaise Shahi Mahal.

Toh Aisa Makan Mein Ek Ghosha Se Doosre Mein Jaane Se Badal Jaayegi, Aur Teen Luqma Khana, Teen Ghooñth Peena, Teen Kalime Bolna, Teen Qadam Maidan Mein Chalna Aur Nikah Ya Kahrido Farokht Karna.

In Tamam Surton Mein Majlis Badal Jaayegi.

Share your love