Jawab:nnJo Gunaah Kisi Bande Ki Haqtalfi Se Ho. nnMaslan Kisi Ka Maal Gasab Kar Liya, Kisi Par Tuhmat Lagayi, Yaa Zulm Kiya, Toh In Gunaho Ki Maafi Ke Liye Zaroori Hai Ki Pehle Us Bande Ka Haq Wapas Kiya Jaye, Yaa Usse Maafi Mangi Jaaye.nnFir Khuda e Ta’ala Se Tauba Kare, Toh Maaf Ho Sakta Hai.nnAur Jis Gunaah Ka Talluq Kisi Bande Ki Haqtalfi Se Nahi Hai, Balki Sirf Khuda e Ta’ala Se Hai.nnUski Do Qism Hai, Ek Woh Jo Sirf Tauba Se Maaf Ho Sakta Hai.nnJaisa Sharab Naushi Ka Gunaah Aur Doosre Woh Jo Sirf Tauba Se Maaf Nahi Ho Sakta Hai.nnJaise Namazon Ke Na Padhne Ka Gunaah, Iske Liye Zaroori Hai Ki Waqt Par Namazon Ke Ada Na Karne Ka Jo Gunaah Huaa Usse Tauba Kare Aur Namazon Ki Qaza Padhe.nnAgar Aakhiri Umr Mein Kuch Qaza Reh Jaaye, Toh Unke Fidyah Ki Wasiyat Kar Jaye.n