Islam mein khoon (blood) donate Karna kaisa hai.

Shariyat mein iska kya hukm hai, aur jo shaks khoon donate karta hai uspe kya hukm hoga.

Jawab:

Insan Apne A’zaa (parts of body) ka Malik nahi hai.

Isi wajah se wo Apna khoon Atiya nahi kar sakhta ke ye NaJayez hai.

Insan apne a’zaa (parts of body) ka malik nahi hai.

Use apne A’zaa bila zarurat e sharaiyah talf karna naajaayez o haraam hai.

Agar sakht zarurat ho jaise apne kisi Musalman ke jaan jaane ka khauf ho aur begair blood diye uski jaan bachana mushkil ho.

To Is surat mein blood de sakta hai.

Aam taur par blood donate karna haraam hai.

Is surat mein Agar use bhi khoon ke ilaawa chaara nahi.

To Kahin Se Blood Hasil karne ki koshish karein.

Agar na mile to Khud dede aur baad mein Tauba o Istegfaar karein.

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love