Azaan Wa Iqamat Ke Darmiyan Durood Sharif (Salaat) Padhna Kaisa Hai ?

Jawab:nnSalaat padhna Yaani ?Assalaatu Wassalaamu Alaika Ya Rasool?ALLAH? Kehna Jaayiz, Wa Mustahasan Hai.nnIss Salaat Ka Naam Istilahe Shara Me Tasweeb Hai Aur Tasweeb Namaz e Magrib Ke Alaawa Baaki Namazo Ke Liye Mustahasan Hai!nnAalamgeerinnTambeenn1) Jo Azaan Ke Waqt Baato Me Mashgool Rahe, Uss Par Maazallaah Khatima Bura Hone Ka Qauf Hai.nnBahare Shariyat Bahawala Fatwa-e-Razviyann2) Jab Azaan Qatm Hojaye Toh Muazzin Aur Azaan Sunne Waale Darood Shareef Padhe.nnFir Azaan Ke Baad Ki Ye Dua Padhe.nn?Allahumma Rabba Hadhihi-D-Dawatit-Tammaa Was-Salatil Qaimah, Aati Muhammadan Al-Wasilata Wal-Fazilah, Wabaathhu Maqaman Mahmudan-Il-Ladhi Waadtah Warzuqna Shafa Atahu Youmal Qiyamati Innaka Laa Tuqliful Miaad.?nn3) Jab Muazzin ?Ashhadu anna Muhammedar Rasoolullah? Kahe.nnToh Sunne Waala Darood Shareef Padhe Aur Mustahab Hai Ki Angothon Ko Choom Kar Aankho Se Lagaale Aur Kahe ?Qurratu Aainee Bika Ya Rasoolullahi ALLAHumma Maatiani Bissami Wal Basri?.nnBahare Shariyat Shaami

Share your love