Agar Wiladat 12 Rabi-ul-awwal Ko Hui Toh Wafat Bhi Usi Tarikh

Yaani 12 Rabi-ul-awwal Ko Hui. Phir Is Din Khushi Kaise Mana Sakte Hai ?nnYeh Toh Gam Manane Ka Din Hua ?nnJawab:nnYaad Rakhe Ki Sog (Gam Manana) Sirf Teen (3) Din Hai Siwaye Bewa Ke: “Kisi Aurat Ke Liye Jo ALLAH ? Aur Akhirat Par Imaan Rakhti Hai, Halal Nahi Ki Zyada Shauhar Ke Siwa Kisi Mayyat Par Teen (3) Din Se Zyada Sog Manaye”.nnSahih Bukhari, Hadees: 1280, Sahih Muslim, Hadees: 3814nnAur Yeh Bhi Yaad Rakhein Ki ek Lamha Ke Liye Apni Shaan Ke Mutabiq Maut Ka Maza Chakhne Ke Baad Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Zinda Hai.nn12 Rabi-ul-awwal Ko Hi Wiladat Aur Wafat Dono Hone Ke Bawajood Bhi Is Din Gam Nahi Manaya Ja Sakta.nnKyunki Jummah Ke Din Adam Alaihis Salam Banaye Gaye Aur Usi Din Wisaal Bhi Hua.nnPhir Bhi ALLAH ? Ne Jummah Ko Musalmano Ke Liye Eid Ka Din Banaya Hai.nnJaisa Ki Pehli Hadees Aur Tafseel Guzar Chuki.nnIsiliye 12 Rabi-ul-awwal Ko Khushi Manayi Jaayegi.nnGam Nahi Manaya Jaayega.nnAur Haan ! Mukhalifeen Ko Qayamat Ke Din ALLAH ? Se Yeh Sawal Zaroori Karna Chahiye Ki Jummah Ko Hi Adam Ki Takhleeq Aur Wisaal Ke Bawajood Usey Eid Kyu Karar Diya?nnGam Aur Khushi Ka Din Bana Kar Gam wa Afsos Zaahir Karne Se Kyu Mana Kar Diya ?

Share your love