Jawab:
Teen Kasf Honge.
Matlab Yeh Hai Ki Aadmi Zameen Mein Dhans Jayenge.
Ek Kasf Purab Mein, Doosra Paschim Mein Aur Teersa Arab Ke Jazeere Mein.
Deen Ka Ilm Uth Jayega.
Matlab Yeh Hai Ki Aalim Log Utha Liye Jayenge.
Aisa Nahi Ki Aalim Log Baqi Rahein Aur Unke Dilo Se Ilm Mit Jayein Aur Khatm Ho Jayein.
Zina Ki Zyaadti Hogi.
Mard Kam Honge Aur Aurtein Itni Zyaada Hongi Ki Ek Mard Ki Mathati Mein Pachas (50) Aurtein Hogi.
Bade Dajjal Ke Alawa Tees (30) Aur Dajjal Hoge.
Yeh Sab Nabuwwat Ka Dawa Karegein.
Jabki Nabuwwat Khatm Ho Chuki Hai.
Maal Bahut Zyaada Ho Jayega.nnYaha Tak Ki Furat Ki Nadi Mein Se Sone Ke Pahad Niklenge.
Arab Jaise Mulk Mein Kheti Bagh Aur Nehrein Hogi.nnDeen Par Qaim Rehna Itna Mushkil Hoga Jaisa Ki Mutti Mein Angaara Lena Mushkil Hai.
Waqt Mein Barkat Na Hogi.nnYaha Tak Ki Ek Saal Mahine Ki Tarah, Mahina Hafte Ki Tarah, Hafta Din Ki Tarah Aur Din Aisa Ho Jayega Jaise Kisi Cheez Ko Aag Lagi Aur Jaldi Hi Bujh Gayi.
Matlab Yeh Hai Ki Waqt Bahut Jaldi Guzrega.nnLogo Par Zakat Dena Bhari Hoga.nnLog Zakat Ko Tawaan (Jurmana) Samjhenge.
Kuch Log Ilm e Deen Padhege, Lekin Deen Ke Liye Nahi Balki Duniya Ke Liye.
Mard Apni Aurat Ka Farmabardaar Hoga.
Aauladein Apne Maa Baap Ki Nafarmani Karegi.
Ladke Apne Doston Se Mel Jhol Rakhege Aur Maa Baap Se Juda (Alag) Ho Jayege.
Log Masjido Mein Duniya Ki Bekar Baatein Karenge Aur Chillayenge.
Gaane Bajane Ki Zyaadti Hogi.
Log Agle Logon Par Laanat Karenge Aur Unhein Bura Kahenge.
Zaleel Aur Ganwaar Log Jinhein Tan Ko Kapda Aur Paw Ki Jutiya Naseeb Na Thi.
Bade Bade Mahilo Mein Guroor Ke Saath Rahege, Wagairah.