Eid e milad ke mauke par jo jande lagaye jate hai

Jisme Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ka naam mubarak aur madina sareef ka photo rehta hai.

To aise jando, yaa aur chizo ko istemal karne ke baad unhe kis tarah rakhna chahiye aur khas to fat jane ke baad kya karna chahiye ki jisse gunaah bhi na ho aur beadbi se bhi bacha jayein?

Jawab:

Aise jhando ka adab zaruri hai.

Unhe Ta’zeem ki jagah rakhein Aur boseeda ho jaayein to dafn kar diya jaayein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love