Agar koi sayyed bhare mazme me Aala Hazrat aur Tajushshariah ki tauheen karein

To kya us sayyed ki tazeem karni chahiye ya nahi?

Jawab:

Kisi alim ki tauheen agar ba’wajh-e-ilm-e-deen hai.

Bila shubah kufr hai aur agar be’sabab-e-zaahir ke hai.

To us par kauf-e-kufr hai.

Warna ashad kabeera hone mein shakh nahi.

Hadees me hai Nabi-e-paak sallallahu Alaihi Wasallam farmate hain:

3 aadmiyo ki tauheen munafiq hi karega.

Musalman budha
Sahib-e-ilm
Adil hakim

Lehaza jo Aala Hazrat O Tajushshariah ki tauheen unke uloom-e-deenia ki wajah se karein to kafir. Wo sayyed hi na raha, ab uski tazeem na ki jayegi.

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love