Shadi ke takriban 6 saal baad zaid ne socha ki biwi ko deen e islam samjhaya jaye. Kyuki zaid ko ye mehsus hota tha ki biwi zyada nahi samjhti bas roza, namaz padhti hai.nnPar ALLAH kya uske Rasool kya nahi samjhti, to zaid ne biwi ko ADAM alaihissalam se batana suru kiya.nnBiwi ko kuch dino me kuch samajh me aa gaya tab biwi ne jaid se kaha ki mai jab apne yaha rahti thi.nnTab padhne jaate samay raste me mandir kisi devi ka tha, usse dua mang liya karti thi aur hindo ke bhagwano ko bhi bhagwan samjhti thi.nnMujhe pata nahi tha ki ye kufr tha, ab mujhe samajh me aaya.nnZaid ne biwi se kaha ki tum tauba karo aur kalma padho, ab zaid ka sawal ye hai ki zaid ka nikah kya uski biwi se shariyatan hua ya nahi?nnZaid ke bachho pe, zaid pe aur biwi pe kya huqm hoga?nnKya zaid ko apni biwi se dubara nikah karna hoga, iska tarika kya hoga.nnZaid ko agar nikah karna hoga, to zaid kya akele apne kamre me biwi ke saath bina kisi gawah ke nikah kar sakta hai aur iska tarika kya hoga?nnJawab:nnAgar Is baat ke baad usne Tauba kiya aur Kalima wagaira parha hai, to wo Musalman hai.nnMagar ehtiyaatan dobara wo Tauba o tajdeed e iman kare aur Tajdeed e Nikah kare.nnAur Nikah ke liye do gawaho ki maujoodgi me Miya biwi ka ijab o qubool karna zaruri hai.nn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????