Ek bachcha do mahine ka ho or maa ka inteqal Hojaye?

Ab is bachche par kiska haq hoga Or bachche ki nani chahti hai ke bachcha hume dedo hum parvarish karege.

Lekin bachche ke walid chahte hai ke bachcha mera hai mein uski parvarish karunga.

Shariat ki roshni mein jawab inayat farmaye ke bachche ki parvarish kaun karein?

Nani ya, uske walid?

Jawab:

Maan ke inteqal ke baad bachche ki parwarish ka haq nani ko hai.

Agar nani na le, to dadi ko hai.

Agar larka hai, to 7 saal aur larki 9 saal tak nani ki parwarish mein rahenge aur iske baad baap ko milenge.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love