Rajab Ke Roze Ki Fazilat

Hazrat e Sayyiduna Allama Saffori alaih rehma Farmate Hai.

Rajab ul Murajjab Beech Boneka, Shabaan ul Muazzam Aabpashi Ka Aur Ramzan ul Mubarak Fasl Kaatne Ka Mahina Hai!

Lihaza Jo Rajab ul Murajjab Mein Ibadat Ka Beech Nahi Bota Aur Shaaban ul Muazzam Mein Aansuo Se Sairab Nahi Karta, Woh Ramzan ul Mubarak Mein Fasal e Rehmat Kyun Kar Kaat Sakega?

Mazeed Farmate Hai.

Rajab ul Murajjab Jism Ko, Shabaan ul Muazzam Dil Ko Aur Ramzan ul Mubarak Rooh Ko Paak Karta Hai.

Imam Abdul Rehman Bin Abdul Salaam [894 H] : Nuzhat ul Majalis: Jild 01, Pg. 155

Jisne Rajab Ka 1 Roza Rakha, Toh Woh 1 Saal Ke Rozo Ki Tarah Hoga.

Jisne Rajab Ke 7 Roze Rakhein, Uspar Jahannam Ke 7 Darwaze Band Kar Diye Jayenge.

Jisne 8 Rajab Ke Roze Rakhein, Uske Liye Jannat Ke 8 Darwaze Khol Diye Jayenge.

Jisne 10 Rajab ke Roze Rakhe, Woh Allah Azzawajal Se Jo Kuch Mangega Allah Azzawajal Usey Aata Farmayega.

Aur Jisne Rajab ke 15 Roze Rakhein, Toh Aasman Se 1 Munadi Nida Karta Hai Ki Tere Pichle Gunah Bhakhs Diye Gaye, Pas Tu Aaj Saare Nav Amal Shuru Kar Ki Teri Buraiyan Nekiyon Se Badal Di Gayi.

Aur Jo Zyada Karein, Toh Allah Azzawajal Usey Zyada De.

Imam Bayhaqi [ 384 – 458 H ] – Shoab ul Imaan: Jild 03, Pg. 368, Hadees no. 3801

Ek Shakhs baargaahe Risaalat mein haazir huwa aur arz kiya Ya Rasoolallah (sallallaho alaihi wasallam), main kamzor hun aur Rajab ke poore mahine ke roze nahi rakh sakta hun. Main kya karun?

Sarkaar e kainaat Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya,

Rajab ki pehli, pandharwin (15th) aur aakhri tarikh mein roza rakh le poore mahine ke roze ka sawab milega“.

Aur koi wo bhi na kar sake to?

Irshad huwa “Rozana roti sadqa karein, sawaab paa lega

SubhanAllah!!

(Nuzhatul Majaalis)

Share your love