Washing machine mein napak kapde (cloth) dhoone se pak ho jata hai kya?

Aur napaak kapde ke sath jitna kapda dhoolne ko dale hai.

Un sab ka kya hukm hai?

Matlab agar paak na huwa hoto?

Jawab:

Agar washing machine aisi hai ke wo kapde ko mukammal nichod deti hai aur naye paani se dho kar phir nichodti hai.

Is tarah 3 baar karein, to kapda paak ho jayega.

Jo surat paak hone ki zikr ki gayi.

Agar wo ma paayi jaayein aur kapda napaak hi rahein.

To uske sath daale jaane waale paak kapde bhi, napaak ho jayenge.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love