Aksar Dekha Jata Hai Ki Jo Shakhs Dadhi Rakha Ho

Aur Usse Makrooh Ya Haram Kaam Sehwan Ya Kasdan Ho Jayein. To Log Yu Kehte Hai Ki Dadhi Rakh Kar Aise Kam Karte Ho

Shariat Mein Iski Kya Tafseel Hai?

Kya Waqai Mein Dadhi Wale Shakhs Se Koi Haram Ya Makrooh Kam Ho Jayein To Wo Zyadah Gunahgar Hota Hai.

Ba-Nisbat Us Shakhs Ki Jisne Dadhi Na Rakhi Hai?

Jawab:

Chahe Darhi Wala Ho, Ya Begair Darhi Wala, Agar Us Ne Kuch Haraam Kaam Kiya.

To Wo Gunahgar Hoga.

Haan Darhi Rakhne Ki Waja Se Wo Logo Me Moazzam Hota Hai.

Lehaza Use Tohmat Ki Jagah Se Bhi Bachna Chahiye.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love