Miswak Karne Ka Tarika?

Miswak Daahine (right) Haath Se Karna Chahiye Aur Miswak is Tarah Haath mein li jaaye ki Chhungaliyaa Miswak ke Niche Aur beech ki 3 Ungaliyaan Upar Aur Angutha Seere par niche ho Aur Mutthi Na Bandhe.

Daanto ki Chawadayi (horizontal) mein Miswak Karein Lambayi (vertical) mein Nahi.

Cheet Late kar Miswak Na karein.

Pahle Daahini (right) Jaanib Ke Upar Ke Daant Maajeh Phir Baayi Janib Ke Upar Ke Daant.

Phir Daahini (right) Jaanib Ke Niche ke Daant.

Phir Baayi Janib Ke Niche Ke Daant.

Jab Miswak Karna hoto pehle Miswak ko dhoole Aur Miswak Karne ke baad bhi use dhoo daale.

Zameen par padi na chhode.

Balki khadi Rakhein Aur Use is Tarah Khadi Rakhe ki uske Reshe wala hissa Upar Rahein.

Bahar-E-Sahari’At Hissa 2 Safa 16

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love