Agar Hath Dhula Huwa Hai. Magar Phir Dhone ki Niyat se Dala.

Aur Yah Dhona Sawab ka kaam Ho. Jaise Khaane ke Liye. Ya Wazu Ke Liye. To Yah Paani Istemaal Kiya Huwa Ho gaya.

Ab Kya Yah Paani Wazu Aur Peene ke kaam Raha?

Jawab:

Wazu Ke Kaam Ka Na Raha Aur Us paani ko peena Bhi Makrooh Hai.

Agar Haath dhula Huwa hai. Magar dhone ki Niyat se daala Aur Yah Dhona sawab ka kaam Ho.nnJaise khaane ke liye, Ya Wazu ke liye.

To Yah paani Must’amal (Istemaal kiya huwa) ho gaya.

Yaani wazu ke kaam ka naa Raha Aur us paani ko peena bhi Makrooh hai.

Agar Jarurat Se Haath Paani mein daala jaise, paani bade bartan mein hai ki Use Jhuka Nahi Sakta.

Na koyi chota bartan hai ki usse nikale, to Aisi Surat mein jarurat Bhar haath paani mein daal kar usse paani nikale.

Yaa Kuwe mein rassi, Dool ghir gaya Aur be Guse nahi nikal sakta Aur paani Bhi Nahi ki haath panv dhokar guse.

To is Surat mein paanv daal kar rassi Nikalega to paani Must’amal Na Hoga is masle ko bahut kam log jaante hai logo ko jaanna chahiye.

Bahar E ShariAt Dusra Hissa Safa 42

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love