Jisko Nahane Ki Zarurat Ho Aise Shakhs Ne Haroof E Muqataat Ho.

(Jaise Alif laam meem. Yaa seen, Haa meem. Wagairah) Aisi Anguthi Pehana Us Ke Liye Kaisa hai?

Jawab:

Ramzan Mein Agar Raat Ko Junub Huwa, To Achha Hai Ki Farz Tulu Hone Se Pahle Naha le Taaki Roze ka Har Hissa Janaabat se khaali Ho Aur Agar Nahi nahaya to Bhi Roza To Hohi jaayega

Magar Achha Yah Hai Ki Garaara Kar Le Aur Naak Mein Jad tak paani Chadaah le yah Dono farz se pahle Karle ki Roze Mein na ho Sakenge Aur agar nahane mein itni der ki ki din nikal aaya Aur namaz Qaza kardi to yah Aur dino mein bhi gunah hai Aur Ramzan mein to Aur jyaada.

Jis ko Nahane ki jarurat ho us ko Masjid mein jaana, Tawaafa karna, Qura’an Sharif Chhuna, Agarche Uska Sada Hashiye (Aayat likhi hoti hai uske ird gird jo blank page hai usko hashiya kehte hain) Ya Jild (Binding ko jild kehte hain) ya Choli chuye, ya be Chuye dekh kar, Ya jubani padhna, Ya kisi Aayat ka Likhna, ya Aayat ka Taveez likhna, Ya Aisa Taveez Chuna, Ya Aisi Anguthi pahanna Jis mein haroof e muqataat Ho (Jaise Alif laam meem. Yaa seen. Haa meem. Wagairah). Haraam Hai

Bahar -E-Sharee’At Dusra Hissa Safa 37

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love