Agar Najasate Galiza Badan Ya Kapde Par Lag Jaye To Kya Hukm Hai?

Jawab:

Agar Najasate Galiza Ek Diraham Se Zyada Lag Jayein. To Uska Paak Karna Farz Hai. Ki Bagair Paak Kiye Namaz Padhli To Namaz Hogi Hi Nahi Aur Agar Najasate Galliza Ek Dirham Ke Barabar Lag Jayein To Uska Paak Karna Wajib Hai.

Ki Bagair Paak Kiye Padhli To Namaz Makrooh E Tahrimi Hui.

Yani Aise Namaz Ka Dobaara Padhna Wajib Hai.

Aur Agar Najasate Galiza Ek Diraham Se Kam Lagi Hai To Uska Paak Karna Sunnat Hai. Ki Bagair Paak Kiye Namaz Padhli To Ho Gayi Magar Khilafe Sunnat Hui.

Aise Namaz Ka Dobara Padhna Behtar Hai.

Bahaar e Shariat

Anware Shariat Hindi P39

Share your love