Nabi aur frishte ke alawa alaihissalam kisi sahaba ke aaghe lagana kaisa?
Hazrat E Imam E Hussain radiyallahu ta’ala anhu ke aaghe alaihissalam lagana kaisa?
Aur kyu nahi lagana chahiye?
Jawab:
Hamare is daur mein ye baat aam hoti jaa rahi hai ke sayyedna Ali e Murtaza, Hasnain kareemain, sayyeda Fatima wa Deegar Aal e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ke afrad e kareema ke ilaawa sabiqa Ambiya Alaihimussalam ki Baaz Ahl par Lafz “Alaihissalam” ka istemal karte hain.
Awaam ke ilaawa khwaas ki bhi Aadat ban gayi hai, ke Shia Firqe ke dekha dekhi ye Marz barh raha hai.
Akaabir Saleheen Ulama o Mashaikh E Muhaqqiqeen ka yahi Mauqif e Mukhtar hai ke Gair e Ambia o Malaika ke liye Alaihissalam Na Istemal kiya jaayein.
Behtar yahi hai ke aisa itlaaq naho.
Balke Aadat khatam kar di jaye taake Mazhab e Shia se Tashaaboh aur uski Tarweej naho.
Islami qaayeda hai ke Bad’mazhab qaum ke sath kisi tarah bhi Mushabahat naho.
Unse Mushabahat ke tamam tareeqe tark karne chahiye.
Wajah zaahir hai ke Sunni Bhola Bhala hai.
Use Shia Apne Mazhab mein laane ki kai Tadbeerein batate hain.
Ek yahi hai ke 12 Imamo ke liye Duaiya Jumla “AlaihisSalam” Tajweez kar rakha hai.
Jo kisi dosre Ummati ke liye Istemal nahi hota hai.
Balke keh nahi sakta Abu Bakar Alaihis Salam, Umar Alaihis Salam, Usman Alaihis Salam, balke in Hazrat ke sath RaziAllahu Ta’ala Anhu ka Iste’mal hota hai.
Awaamun Naas ye sab kuch dekhte hain aur agar wo khud is taraf mutawajjeh nahi hote, to Jamat e Mujtahideen unko mutawajjeh karti hai.
Aur unko ye dikhati aur samjhati hai.
Ke ye Duaiya jumla jo Hazrat e Ambiya e kiram Alaihimus Salam ke Mubarak naamo ke sath bhi bola jata hai.
Hamare aimma ke naamo ke sath bhi bola jata hai.
Isi se zaahir o baahir hai ke ye 12 Afraad zumra e Ambiya mein shamil hain.
Aur unki imamat Ma’mooli imamat nahi.
Balke Hazrat e Ambiya e Maa Sabaq ki imamat hai.
Faayeda: Agar Baaz Ulama ki tahqeeq Baraaye Gair Ambiya Alaihissalato wassalam ya Alaihissalam kehne ko jayez qarar dete hain.
Aur unke qaul par Koi Amal karta hai to wo pehle un 2 hazrat (Hazrat Abu Bakr, Hazrat Umar) ke sath iska istemaal karein.
Jo Ahl e Sunnat o Jamaat ke nazdeek shia ke 12 imamo se ba ittefaq afzal hain.
Aur wo Hazrat Abu Bakr Aur Hazrat Umar RaziAllahu Talaa hain.
Mujawwizeen ne agar jawaaz ka bayan kiya hai to tamam sahaba ulama o sulaha ke liye kiya hai.
Sirf Ahl e Bait e At’haar ke 12 afraad ke liye nahi kiya hai.
In halaat ko dekhte hue hazraat e ahl e bait e at’haar RaziAllahu Talaa ke zikr ke waqt lafz e alaihis salam ki dua karne ko tark kiya jaayein.
Taake Shia Awaam e Ahl e Sunnat ko Gumraah na kar sakein.
Wa-Allahu Ta’ala A’lam
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi