Tab Huzoor E AQDAS Sallallhu Alaihi Wassallam Ki Umar Sharif Kya Thi?
Jawab:
Huzoor E AQDAS Sallallhu Alaihi Wassallam Ki Umar Sharif Jab 6 Baras Ki Ho Gayi To Aap Ki Walida Majida Aapko Saath Lekar Madina Munawwara Apke Daada Ke Nanihaal Abu Adi Bin Najjar Mein Rishtedaro Ki Mulakaat Ya Apne Shohar Ki Qabr Ki Ziyaarat Ke Liye Tasharif Le Gayi.
Huzoor Sallallhu Alaihi Wassallam Ke Waalid E Maajid Ki Baandi Umme Eyman Bhi Is Safar Mein Apke Saath Thi.
Waha Se Wapasi Par ABWAA Naami Gaon Mein Hazrate Bibi Aamina Ki WafaAt Ho Gayi Aur Wah Wahi Madfun Huyi.
Waalid E Maajid Ka Saaya To Wiladat Se Pahle Hi Uth Chuka Tha Ab Waalida Maajida Ki Aagoshe Shafkat Ka Bhi Khatma Ho Gaya.
Lekin Hazrate Aamina Ka Yah Durre Yatim Jis Aagoshe Rahmat Mein Parwarish Paa Kar Parwana Chadne Waala Hai.
Wah In Sab Jaahiri Asbaabe Tarbiyat Se Be-Niyaaz Hai.
Hazrate Bibi Aamina Ki WafaAt Ke Baad Hazrate Umme Eyman Apko Makka Laayi Aur ApKe Dada Abdul Muttalib Ko Supurd Kiya Aur Dada Ne Aapko Apne Aagoshe Tarbiyat Mein Intihaayi Shafkat Wa Muhabbat Ke Saath Parwarish Kiya Aur Hazrate Umme Eyman Apki Khidmat Karti Rahi.
Jab Apki Umar Sharif 8 Baras Ko Ho Gayi To Apke Dada Abdul Muttalib Ka Bhi Inteqal Ho Gaya.
Seeratul Mustafa Baab Pehla Safa No 64
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Sahab