Musalman Bachchon Ke Naam Kaise Rakhe Jaye?

MASLAH:- Bachcha paida hone ke shukuriye me jo Jaanwar zabah kiya jaata hai usko aqeeqah kahte hai.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Jab bachcha paida ho to mustahab ye hai ke uske kaan me azan o iqamat kahi jaaye azan kahne se ??? ??????????????? balaayein door ho jayengi.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Behtar ye hai ke daahine kaan me 4 martabah azan aur baayein kaan me 3 martabah iqamat kahi jaaye.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- 7wen din uska naam rakha jaaye aur uska sar munda jaaye aur sar mundne ke waqt aqeeqah kiya jaaye.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Baalon ko wazan karke utni chaandi ya sona sadqa kiya jaaye.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Hindustan me amooman bachcha paida hone par chhatti ki jaati hai, baaz logo me is mauqe par najayez rasmein barti jaati hain.nnMaslan aurato ka gana bajana aisi baaton se bachna aur unko chhorna zaroori o laazim hai.nnBalkeh musalmaano ko woh karna chahiye jo huzur e aqdas ??? ???? ????? ???? ???? ke qaul o fe’l se saabit hai.nnAqeeqah se bahut zaaid rusoom me sarf kar dete hain aur aqeeqah nahin karte.nnAqeeqah karein to sunnat bhi ada ho jaaye aur mehmano ko khilane ke liye gosht bhi ho jaaye.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Aaj kal logon me yaum e paidaaish (birthday) manane ka bahut zor hai is mauqa par bhi bahut si najayez rasmen barti jaati hain.nnMaslan gana bajana wagairah is khas taqreeb me muam batti jalana, taaliyan baja baja kar english zbaban me mubarakbaad dena ye sab chizein yahoodiyo o nasraaniyo ki rasmein hain hamen in sab se bachna zaroori hai.nnMASLAH:- Yaum e paidaaish (birthday) ke mauqe par aisi taqreebaat jo manhiyyaat e shari’ah se paak hon in me harj nahin.nnMaslan moulood shareef ki mahfil buzurgaan e deen ke name esaal e sawab aur niyaz ki taqseem wagairah.nnBalkeh ye chizen baa’is-e-khair barakat hain aur nek o paakeezah zindagi ke liye nek faal hai.nnMASLAH:- Bachcha ka achcha naam rakha jaaye hindustan me bahut logo ke aise naam hai jinke kuchh ma’na nahi ya unke bure ma’na hain aise naamo se aiteraaz karein.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Ambiya e kiram ???? ?????? ? ??????Ke asmaa e tayiibah aur sahaba o taab’een o buzurgaan e deen ke naam par naam rakhna behtar hai. Ummeed hai ke unki barkat bachche ke shamil haal ho.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Abdullah o Abdur Rahman bahut achhe naam hai. Magar is zamane me aksar dekha jaata hai ke bajae Abdur Rahman us shakhs ko bahut se log rahman kahte hain aur gair e khuda ko rahman kahna haraam hai.nnIsi tarah Abdul Khaliq ko khaliq aur abduma’bud ko ma’bud kahte hain is qism ke naam me aisi najayez tarmeem hargiz na ki jaaye.nnIsi tarah bahut kasrat se naam me tasgeer ka riwaj hai.nnYani naam ko is tarah bigaadte hain jisse hiqaarat nikalti hai aur aise namo me tasgeer hargiz na ki jaaye.nnLihaza jahan ye guman ho ke naam me tasgeer ki jaayegi ye naam na rakhein jaayein dosre naam rakhe jaaye.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Baaz Asma e Ilahiyyah jinka itlaaq gairullah par jaayez hai. Unke saath naam rakhna jaayez hai.nnJaise Ali, Kabeer, Rasheed, Badee’nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Aisa naam rakhna jiska zikr na quran majeed me aaya ho na hadeeson me ho na musalmano me aisa naam musta’mal ho is me ulama ko ikhtelaf hai, behtar ye hai ke na rakhe.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Mara hua bachcha paida ho to uska naam rakhne ki haajat nahi bagair naam rakhe dafn karde.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Bachcha paida ho kar mar gaya to dafn se pahle uska naam rakha jaaye. Ladka ho to ladko ka sa aur ladki ho ladkiyo ka sa naam rakha jaaye aur maloom na ho saka ke ladka hai ya ladki to aisa name rakha jaaye jo mard o aurat dono ke liye ho sakta ho.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Jo name bure ho unko badal kar achcha naam rakhna chahiye.nnHadees me hai qiyamat ke din tum apne aur apne baapon ke naam se pukare jaaoge.nnLihaza apne naame achhe rakho.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Huzoor Aqdas ??? ???? ????? ???? ???? ne bure naamo ko badal diya 1 shakhs ka naam “asram” tha usko badal kar “zar’ah” rakha aur “aasiya” ( ?????) name ko badal kar jameela rakha yasaar, rabaah, aflah, barakat naam rakhne se bhi mana farmaya.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Abdul Mustafa, Abdunnabi, abdurrasool, naam rakhna jaayez hai ke is nisbat ki sharaafat maqsood hai aur uboodiyyat ke haqeeqi ma’na yahan maqsood nahi hain. Rahi abd ki izafat gairullah ki taraf ye quran o hadees se saabit hai.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:-Aise naam jin me tazkiyyah e nafs aur khudsataai nikalti hai unko bhi Huzoor e Aqdas ??? ???? ????? ???? ???? ne badal daala ?birrah? ka name zainab rakha aur farmaya apne nafs ka tazkiyyah na karo.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Shamsuddin, Zainuddin, Muhiyyuddin, Fakhruddin, Naseeruddin, Sirajuddin, Nizamuddin, Qutbuddin wagaiha asma jinke andar khud sataai aur badi zabardast ta’reef paai jati hai nahin rakhne chahiye.nnRaha ye ke buzurgaan e deen o aimma e saabiqeen ko in naam se yaad kiya jaata hai to ye jaanna chaahiye ke un hazrat ke naam ye na the.nnBalkeh ye unke alqaab hain ke jab woh hazrat maraatib e aaliya o manasib e jaleelah par faiz huye to musalmano ne unko is tarah kaha.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Gulam ahmad, Gulam rasool, Gulam farooq, Gulam ali, Gulam hasan, Gulam husain wagiraha asma jin me ambiya o sahaba o auliya ke namo ki taraf gulam ko izafat karke naam rakha jaaye ye jaayez hai.nnIske adam e jawaz ki koi wajah nahin, ba’az wahabiyya ka in namo ko najaayez balkeh shirk batana unki bad-baatini ki daleel hai.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH: Muhammad bakhsh, Ahmad bakhsh, Nabi bakhsh, Peer bakhsh, Ali bakhsh, Husain bakhsh aur isi qism ke dosre name jin me kisi nabi ya wali ke name ke saath bakhsh ka lafz mila kar rakha gaya ho jaayez hai.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Gafooruddin, Gafoorullah, naam rakhna naajaayez kyuke gafoor ka ma’na hai mitane wala.nnAllah ????? gafoor hai ke woh bando ke gunaah mita deta hai.nnLihaza gafooruddin ke ma’na huye deen ke mitane wala.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Taaha, Yaseen naam bhi na rakhe jaayein ke ye muqatta’aat e quraniya se hai.nnJinke ma’na maloom nahin. Zaaheer ye hai ke ye asmaa e nabi ??? ???? ????? ???? ???? se hain aur ba’az ulama ise asma e ilahiyyah se kaha.nnBaharhaal jab ma’na maloom nahin to ho sakta hai ke iske aise ma’na ho jo Huzoor ??? ???? ????? ???? ???? ya Allah ????? ke saath khas hon.nnAur in naamo ke saath Muhammad mila kar muhammad taaha, muhammad yaaseen kahna bhi muman’at ko daf’a na karega.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Muhammad nabi, Ahmad nabi, Muhammad rasool, Ahmad rasool, Nabiyuzzaman naam rakhna bhi najaayez hai.nnBalkeh ba’az naam nabiyyullah bhi suna gaya hai.nnGair e nabi ko nabi kahna hargiz hargiz jayez nahin ho sakta.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH: Muhammad bada pyara naam hai is naam ki badi ta’reef hadeeso me aai hai.nnAgar tasgeer ka andesha na ho to ye naam rakha jaaye aur ek soorat ye hai Ke aqeeqah ka ye naam ho aur pukarne ke liye koi dosra naam tajweez kar liya jaaye aur hindustaan me aisa bahut hota hai ke ek shakhs ke kai naam hote hain.nnIs soorat me name ki barakat bhi hogi aur tasgeer se bhi bach jaayenge.nnTAMBEEHnAaj kal musalmano me aise naam raaij ho gaye hain jinka koi matlab nahin. Yunhi fussaq o fujjar ke naam par apne bachcho ka name rakhte hain aise naamo se bhi bachna chahiye aur aisa naam rakhna chahiye jo bama’na aur bihtar ho.nn(Bahar e shari’at)nnBOOK NAME – FAZAAIL O MASAIL E EIDUL AZHA O QURBANInn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love