Aqeeqah ke masail

MASLAH: Aqeeqah ke liye 7wa din behtar hai aur 7we din na karein to jab chahein kar sakte hain sunnat ada ho jaayegi.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Baaz ne kaha Hai ke 7wen din, ya 14wen din, ya 21wen din.

Yani 7 din ka lihaz rakha jaayein, ye behtar hai aur yaad na rahe to ye karein ke jis din bachcha paida hua us din ko yaad rakhein.

Usse ek (1) din pahle wala din jab aayein to woh 7wa din hoga.

Maslan juma ko paida hua to jumeraat 7wa din aur saneechar ko paida hua to juma 7wa din hoga.

Pahli soorat mein jis jumeraat ko aur dosri soorat mein jis juma ko aqeeqah karega us mein 7wen din ka hisaab zaroor aayega.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Ladke ke aqeeqah mein do (2) bakre aur ladki mein ek (1) bakri zabah ki jaayein.

Ladke mein narr Jaanwar aur ladki mein maadah munasib hai aur ladke ke aqeeqah mein bakriyaan aur ladki mein bakra kiya jab bhi harj nahin.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Aqeeqah mein gaaye zabah ki jaayein to ladke ke liye do (2) aur ladki ke liye ek (1) hissa kaafi hai.

Yani 7 hisso me 2 hisse, ya 1 hissa.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Gaaye ki Qurbani hui usme aqeeqah ki shirkat ho sakti hai.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Bachcha ke sar mundne ke ba’ad sar par zafraan pees kar laga dena behtar hai.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Aqeeqah ka Jaanwar unhi sharaait ke saath hona chahiye jaisa Qurbani ke liye hota hai.

Uska gosht fuqara aur azeez o qareeb o dost o ahbaab ko kachcha taqseem kar diya jaayein.

Ya paka kar diya jaayein, ya unko bataur ziyaafat o dawat khilaya jaayein ye sab sooraten jaayez hain.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Behtar ye hai ke uski haddi na todi jaayein.

Balke haddiyo par se gosht utaar liya jaayein, ye bachcha ki salamati ki nek faal hai aur haddi tod kar gosht banaya jaayein isme bhi harj nahin.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Gosht ko jis tarah chahein paka sakte hain.

Magar meetha pakaya jaayein to bachche ke akhlaaq achche hone ki faal hai.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Baaz ka ye qaul hai ke siri paaye hajaam ko aur ek (1) raan daai ko de, baaqi gosht ke teen (3) hisse karein, Ek (1) hissa fuqara ka ek (1) ahbaab ka aur ek (1) hissa ghar wale khaayein.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Kul gosht ghar ke liye rakh liya, to isme bhi harj nahin.

MASLAH: Awam mein ye bahut mashhoor hai ke aqeeqah ka gosht bachche ke maan baap, dadi, dada, nani, nana na khayein, ye mahaz galat hai iska koi suboot nahin.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Ladke ke aqeeqah mein do (2) bakriyo ki jagah ek (1) hi bakri kisi ne ki to ye bhi jaayez hai.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Baaz log shadi wagairah ke moqa par gaaye ya bakriyaan gosht ke liye zabah karte hain.

To usme aqeeqah ki niyat bhi kar lete hain. Isme harj nahin aur jin logo ki taraf se aqeeqah kiya unki taraf se aqeeqah ki sunnat ada ho jaayegi.

MASLAH: Baaz ka wahi hukm hai jo Qurbani ki khaal ka hai apne sarf mein laaye, ya masakeen ko de, ya kisi aur nek kaam masjid, ya madarsa me sarf karein.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Aqeeqah mein Jaanwar zabah karte waqt Aqeeqah ki dua padhi jaati hai.

Aqeeqah ki dua padh sakte hain aur yaad na ho to bagair padhe bhi zabah karne aqeeqah ho jaayega.

(Bahar e shariat)

BOOK NAME – FAZAAIL O MASAIL E EID UL AZHA O QURBANI

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love