Hazrat ek Roti hath mein lekar khana hai, ya dastar Kha Se thoda thoda tod kar khaye?
Ek hazrat ne kaha ek roti hath mein lekar thoda thoda tod kar khana chahiye.
Jawab:
Kisi bhi cheez ko Khane ke liye chote luqme lena sunnat hai..
Lehaza Roti bhi Chote tukde kar ke khaaye jaayein ke Luqma bada na ho.
Roti wagaira todne ke liye dono hath ka istemaal karein.
Is tarah ke ek hath mein roti le kar dosre hath se tode, ke zameen pe roti rakh kar ek hath se roti todna aur khana Takabbur ki Alamat hai.
Aur Shariat ne is tarah Khane se Mana farmaya hai.
Balke Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Sareed (yaani saalan mein roti ke tukde tod kar daal dein) khane ko bahot pasand farmaya.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi