Kya Shafai Maslak Ke Piche Hanfi Maslak Ki Namaz Mukammal Hoti Hai?

Jawab:

Aala Hazrat Azeemul Barakat Saiyyiduna Iamam Ahmad Raza Fazil E Barailvi RadiAllahu Taala Anhu Se Sawal Hua Ke

Hanfi Shafai Ke Peechhe Namaz Padhein To Jaayez Hai Keh Nahin Aur Agar Shafai Namaz Padha Raha Hai Aur Hanfi Aaya To Jamat Mein Shareek Ho, Ya Nahin.

Jawab Mein Irshad Farmate Hain:

Agar Shafai Taharat O Namaz Mein Faraiz O Arkaan E Mazhab E Hanfi Ki Riaayat Karta Hai.

Uske Peechhe Namaz Bila Karahat Jaayez Hai.

Agarche Hanfi Ke Peechhe Afzal Hai Aur Agar Haal E Riaayat O Adam E Riaayat Maloom Naho.

To Qadr E Karahat Ke Saath Jaayez Aur Agar Aadat E Adam E Riaayat Maloom Hoto Karahat Shadeed Hai Aur Agar Maloom Ho Keh Khas Is Namaz Mein Riaayat Na Ki To Hanfi Ko Uski Iqteda Jaayez Nahin.

Uske Peechhe Namaz Na Hogi Soorat E Awwal O Dom (Yani Pahli Aur Dosri Soorat) Mein Shareek Ho Jaayein Aur Soorat E Som (Yani Tisri Soorat) Mein Sharik Naho Aur Chaharum (Yani Chauthi Soorat) Mein To Namaz Hi Batil Hai.

(Fatawa Razwiya Jild 3 Safah 228)

Lihaza Agar Zaid Ko Maloom Hai Keh Shafai Imam Mazhab E Hanfi Ke Sharaait O Faraaiz Ki Riaayat Taharat O Namaz Mein Karta Hai.

To Uske Peechhe Namaz Padhein Aur Agar Kuchh Na Maloom Hoto Bhi Iqteda Karle Aur Agar Maloom Ho Keh Riaayat Nahin Karta Hai.

To Iqteda Na Karein Aur Agar Iqtida Karli Hai.

To Phir Se Padhein Aur Agar Yaqeen Hai Keh Riaayat Nahin Kiya Maslan Dekh Liya Hai Keh Mazhab E Hanfi Mein Jo Chizein Farz Hain Un Mein Se Koi Farz Ada Nahin Kiya Maslan Chuthai Sar Ka Masah Nahin Kiya Sirf Kuchh Baal Bhiga Liya.

To Aisi Soorat Mein Uske Peechhe Hanfi Ki Namaz Nahin Hoi Aisi Namazon Ko Phir Se Padhna Zaid Par Farz Hai.

Hanfi Ko Hanfi Imam Ki Iqtida Karni Chahiye Ke Ye Afzal Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love