Aur alaihis salam kin ko lagane ka hukm hai?
Jawab:
Ulama ne farmaya hai ke agar apko awaz dene ke waqt adab ka taqaza ye hai ke apko makhsus alfaz aur alqaab se yaad kiya jaayein.
To aap par durood o salam pesh karte waqt bhi adab laazim hai ke Durood o salam ke alfaz makhsus hon.
Aur chunke Allah Ta’ala ne Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ki Taleem di hai.
Lehaza is Mubarak Alfaz “Sallallahu Alaihi wa Sallam” ko apke sath makhsus rakhna chahiye.
Lehaza yahi Ma’roof hai ke “Sallallahu Alaihi wa Sallam” ka Istemal Sirf Huzoor ke sath Khas.
Jabke “Alaihissalam” ka Istemaal Ambiya o Malaaika ke sath khaas hai.
Rahi Baat Sirf Durood, Ya Sirf Salam ki, to ye bhi Jaayez.
Balke Ahadees se Saabit hai.
Jaise Durood e Ibrahimi Wagairah.
Lehaza Huzoor Sallallahu Alaihi wa Sallam ke Ism e Paak ke Sath Alaihis Salam Bhi Kehna jaayez.
Lekin Ulama Tasreeh Farmate hain ke Durood o Salam Dono Zikr Karna Behtar hai.
Taake Mazkoora Ayat e Kareema par Amal ho jaayein.
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi