Firoza, Aqeeq Aur Dusre Sab Patthar Hame Kisi Bhi Tarah Ka Faida Ya Nuksan Pahucha Sakte Hai?

ANSWERnnAngoothi Me Asr Allah Ta?ala Ne Rakha Hai.nnUs Me Ata E Ilahi Ke Bagair Koi Asr Nahi.nnJis Tarah Dawa Me Marz Se Shifa Ka Asar Hai.nnYe Asar Allah Ta?ala Ne Hi Us Me Rakha Hai.nnTo Jis Tarah Dawa Se Fayida Hasil Karna Jaayez Hai.nnUsi Tarah Patthar Se Bhi Faaida Haasil Karna Jaayez Ke Patthar Me Bhi Allah Ta?ala Ne Hi Faaida O Nuqsaan Ka Asar Rakha Hai.nnTo Is Aqeede Ke Sath Patthar Ka Istemal Bataur E Nag Karne Me Kuch Harj Nahi.nnHaan Agar Mu?assir E Haqeeqi Patthar Hi Ko Koi Samjhe.nnYa?ni Allah Ta?ala Ne Patthar Me Asar Nahi Rakha.nnBalke Patthar Me Khud Bakhud Faaida O Nuqsaan Ka Asar Hai To Ye Zaroor Kufr Hai.nnMagar Kisi Musalman Ka Aisa Aqeeda Hargiz Nahi Ye Wahabi Devbandi Gair Muqallid Wagaira Ka Zabardasti Ilzaam Hai Ke Sunni Masalman Patthar Me Nafa O Nuqsan Be Ata E Ilahi Maante Hai.nnAta E Ilahi Ke Baad Bhi Patthar Me Asar Manna Shirk Hai.nnTo Wahabi Devbandi Wagaira Dawa Me Marz Se Shifa Ka Asar Maante Hain.nnTo Wo Bhi Kaafir Huye Aur Agar Ata E Ilaahi Maanne Ke Ba?ad Dawa Me Marz Se Shifa Ka Asar Maanna Un Ke Nazdeek Kufr Nahi.nnTo Ata E Ilaahi Ke Saath Patthar Me Nafa O Nuqsaan Manne Me Kyu Kar Kufr Hoga.nnWahabi Devbandi Gair Muqallid Wagairah Ko Hum Sunniyo Ke Aksar Amaal Me Shirk O Kufr Ki Qabaahat Maloom Hoti Hai Aur Wahi Amal Wo Khud Karein To Kufr Nahi Balke Apne Aap Ko Dunya Ka Bada Muwahhid Kahte HainnnAllah Ta?ala Unke Sharr Se Mahfooz Rakhe. AMEENnnLehaza Agar Use Muassir E Haqeeqi Na Maane Balke Ye Aqeeda Ho Ke Is Me Jo Kuch Bhi Asar Hai Wo Allah Ta?ala Ke Diye Se Hai.nnTo Is Me Kuch Harj Nahi Aur Agar Muassir E Haqeeqi Patthar Hi Ko Maan Le Ma?azAllah To Ye Kufr Hai.nnWa-Allahu Ta?ala A?lamnn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love