Agar sahi hai toh koi dalil dejiye (quran aur hadees se).nnJawab:nnSalf e Saaliheen ne Quboor e Auliya par haazri dene waale zaayereen aur dua karne waalo ke liye 2 tareeqe bayan kiye hai.nn1) Pehla tareeqa ye hai ke Dua mangne waala Allah Ta’ala ka mohtaj aur faqeer hai aur apni haajat Allah ta’ala se talab karta hai.nnMagar dua me saahib e mazar ki ruhaaniyat, buzurgi aur unki khidmaat e jaleela ka waseela pesh karte hue Allah Ta’ala se maangta hai aur ye arz karta hai kenn“Aye mere Maula! Is sahib e mazar ki barkat se aur us Rahmat o inayat ke sadqe jo tu ne is sahib e mazar par ki hai aur ise Azmat o buzurgi ataa farmaayi hai. Meri falaan Hajat ko poora Farma.nnKyu ke haqeeqi Ata karne waala aur muraadein poori karne waala tu hai.”nn2) Dosra tareeqa ye hai ke Dua mangne waala saahib e mazar ko mukhatab karte hue kahe kenn“Aye Allah Ta’ala ke Maqbool bande! Meri falaan muraad Allah Ta’ala se Talab keejiye, Allah Ta’ala mujhe Meri Matloob shai Ata Farmaaye.”nnIs tarah bhi sawal Allah Ta’ala hi se kiya jaata hai. Kyu ke Haqeeqi mushkil kusha wahi zaat hai.nnLekin ye usloob ikhtiyar karna ba tareeq e majaaz hai. Jiske tahet saahib e qabr ko ba taur e waseela pesh kiya jaata hai.nnYe tareeqa bhi is liye jaayez hai ke Allah Ta’ala is par Qadir hai ke jise chaahe us ki ilteja sunwa de.nnKyu ke hamara Aqeeda hai ke koi Qabr waala ho ya zinda chalta phirta insan, Allah Ta’ala ki taraf se Rahmat ke Bagair nahi soon sakta.nnYe Amr ba’eed nahi hai ke Allah Ta’ala dua karne waale ki awaaz ko qabr waale tak pohcha de aur phir saahib e Qabr Aalam e Arwaah me Allah Ta’ala se us haajat mand ke maqaasid ko poora kar dene ki ilteja kare.nnIs tareeqe me bhi haajat mand bil waasta Allah Ta’ala hi se maang raha hota hai.nnIn Naazuk Eteqaadi umoor ko badi ehtiyaat ke sath Awaam e Muslim ke saamne bayan karna chahiye.nnBaaz hazraat mazaraat par haazri dete waqt aise Amaal o Afaal karte hain jo jumhoor ummat ke shiaar ke khilaaf hain.nnIska nateeja ye hota hai ke Mukhaalifeen ko eteraaz ka mauqa mil jaata hai.nnIsme qusoor dar haqeeqat hamare baaz aimma o khutaba ka hota hai.nnJo aise naazuk aqaaid me ehtiyaat malhooz nahi rakhte aur be jaa taweelaat aur ulte seedhe dalaail awaam ki taaid ki khatir bayan karte rehte hai.nnIsse naaqis logo ke zahen uljhaao ka shikar ho jaate hain.nnHamara ye aqeeda hai ke hayaat e shaikh o murshid se dua karane ki surat me bhi haajat mangna Allah Ta’ala hi se Mutasauwwar hota hai.nnKyu ke wo bhi to Allah Ta’ala hi se mangte hai.nnKoi Allah ka wali ya shaikh ye nahi kehta ke mai Haqeeqatan ye sab kuch dene waala hu.nnBalke wo to ye kehte hain ke tum bhi Allah se maango aur hum bhi usi se tumhare liye dua karte hain.nn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????