Dua mangna kitna zaroori hai?

Aur agar koi insaan dua nahi mangta to kya agarche uska yakeen yeh ho ki jo mere taqdeer mein likha hai wo Allah Ta’Ala mujhe ataa karnewala hai.

Sawal karne ka maqsad dua ki ehmiyat ko samjna hai.

Dua maange, ya fir sirf hame di hui nemato ka shukr adaa karein.

Is baat ko Samajhna hai.

Jawab de kar hamari islaah karein.

Jawab:

Beshak Allah Ta’ala ne jo bhi Ne’matein Ataa Farmaayi hain Us Par Sabr Karna aur Rab Ta’ala ka Shukr Baja Lana Har Musalman Par Laazim hai.

Magar Dua Se Inkar karna aur Na Maangna Sakht Mahroomi hai, ke Dua se Taqdeer (Qaza e Muallaq, ya shabeeh ba mubram) Badal bhi sakti hai.

Aur Dua Karna Allah Ko Raazi karne ka Ek Haseen waseela hai.

Dua Jis Tarah Allah Ta’ala Se Munajaat Karne, Us Ki Qurbat Hasil Karne, UsKe Fazl o Inaam Ke Mustahiq Hone Aur Bakhshish, Wa Maghfirat Ka Parwana Hasil Karne Ka Nihayat Aasan Aur Mujarrab Zariya Hai.

Isi Tarah Dua Allah Tabaarak wa Ta’ala Ke Pyare Habib Sallallahu Alahi Wassallam Ki Sunnat, Us Ke Pyare Bando Ki Aadat Aur Dar Haqeeqat Ibadat.

Balki Maghz-E-Ibadat Aur Gunahgaar Bando Ke Haqq Mein Allah Ta’ala Ki Taraf Se Ek Bahot Badi Nemat Wa Saadat Hai.

Quran-E-Kareem, Wa Ahadees e Mubaraka Mein Jagah Jagah Dua Maangne Ki Targeeb Dilayi Gayi Hai.

Dua Se Mutalliq Quran-E-Kareem Mein Farmane Baari Taala Hai :

Tarjuma-E-Kanzul Iman

“Aur Tumhare Rab Ne Farmaya Mujh Se Dua Karo Main Qubool Karunga Beshak Wo Jo Meri Ibadat Se Unche Khinchte (Takabbur Karte) Hain An Qareeb Jahannum Me Jayenge Zaleel Ho Kar.”

(Al Quran : Parah: 24 , Al’Mominoon : 60)

Ek Maqaam Par Irshaad Farmaya :

Tarjuma-E-Kanzul Iman:

“Aur Aye Mehboob Jab Tum Se Mere Bande Mujhe Poochein To Main Nazdeek Hoon Dua Qubool Karta Hoon Pukarne Wale Ki Jab Mujhe Pukare To Unhein Chahiye Mera Hukm Maane Aur Mujh Par Imaan Laaye Ke Kahin Raah Paayein.”

(Al Quran : Parah : 2 , Al’ Baqarah : 186)

Neez Nabi-E-Kareem Sallallahu Alahi Wasallam Ne Kaseer Ahadees Mubaraka Mein Baar Baar Dua Mangne Ki Targheeb Dilaayi Hai.

Chunanche Irshaad Farmaya : Dua Ibadat Ka Maghz Hai?

Aur Na Maangne Ki Surat Mein Rabbe Jaleel Ka Nihayat Sakht Hukm Bhi Sunaya :

Jo Mujh Se Na Mangega Main Us Par Ghazab Farmaunga

Sarkar e Aqdas Sallallahu Alahi Wassallam Ka Farman e Aalishan Hai:

Jo Musalman Aisi Dua Kare Jis Mein Gunah Wa Qata e Rehmi Ki Koi Baat Shamil Na Ho.

To ALLAH Ta’ala Use Teen (3) Cheezon Mein Se Koi Ek Zaroor Ataa Farmata Hai:

1) Us Ki Dua Ka Nateeja Jald Hi Us KinZindagi Mein Zahir Ho Jata Hai.

2) ALLAH Ta’ala Koi Musibat Us Bande Se Door Farma Deta Hai.

3) Us Ke Liye Aakhirat Me Bhalayi Jama Kar Di Jaati Hai. Ek Riwayat Mein Hai Ke Banda Jab Aakhirat Mein Apni Duaon Ka Sawab Dekhega Jo Duniya Mein Mustajaab (Yani qubool) Na Hui Thi. To Tamanna Karega: Kaash ! Duniya Mein Meri Koi Dua Qubool Na Hui Hoti.

(Tirimizi : 5/243 , Hadees: 3382 Al Jama ul Sageer : Safha: 377 , Hadees : 6069)

(Tirimizi : 5/292 , Hadees : 3490)

Hazrate Sayyeduna Abu Hurairah RadiaAllahu Taala Anhu Se Riwayat Hai Ki Nabi-E-Kareem Sallallahu Alahi Wassallam ne irshad farmaya.

Dua Momin Ka Hathiyaar, Deen Ka Stuoon Aur Zameeno Aasman Ka Noor Hai?

(Mustadrak: Jild 2 , Safha 162)

Ameerul Momineen Hazrate Sayyeduna Umar bin Al-Khattab RadiaAllahu Taala Anhu Farmate Hain Ke

Beshak Dua Zameeno Aasman Ke Darmiyan Ruk Jaati Hai Aur Jab Tak Tum Apne Nabi Sallallahu Alahi Wassallam Par Durood-E-Paak na Parh Lo, Us Mein Se Koi Cheez Buland Nahi Hoti.

Ameerul Momineen Hazrate Sayyeduna Ali RadiaAllahu Taala Anhu Se Marwi Hai Ki

Har Dua Rok Di Jaati Hain. Jab Tak ALLAH Ke Mehboob Sallallahu Alahi Wassallam Par Durood Na Parh Liya Jaayein.

(Jamia At Timizi : Hadees 486)
(Tabrani : Jild 1, Safha 211).
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love