Mazaar Par Ghusl Dena Kaha se Sabit Hai.nnJawab:nnMazaar shareef ka Ghusl mazaar shareef ko dhona hai.nnYe saaf safaai hai ise adaban ghusl kahte hai.nnnSafaai ko nisf imaan farmaya gaya hai aur safaai ke fawaaid se kisi ko inkar nahi.nnnMagar wahabi deobandi ko kya kahiye ke safaai ke mutalliq quran hakeem me aayatein bhi hain aur bakasrat ahadees bhi.nnMagar qurani aayat bhi nazar andaaz aur ahadees se bhi bekhabar aur auliya o ambiya se dushamani me itni moti moti daleel bhi nazar na aai aur kyu nazar aati.nnAuliya e kiraam o ambiya e kiraam ki dushamani me andhe ho chuke hai.nnTo andho ko ambiya o auliya ki azmato ke dalaail nazar nahin aate.nnLog apne ghar makan dukan ko dhote hain uski safaai karte hain us waqt daleel ki baat nahin aati aur jahan auliya kiram o ambiya kiram ki nisbat ki baat aai daleel talab ki jaati hai.nnKa’ba shareef ka bhi ghusl hota hai iski bhi hai koi daleel?nnJab Allah Ta’ala aur uske rasool ??? ???? ????? ???? ???? ne mana nahi farmaya to ye log kaun hote hain mana karne wale.nnAllah Ta’ala unke makr o fareb se bachaayen???? ???? ???? ???????? ?nnnnn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????