Kya ek shakhs do (2) peeron ka mureed ho sakta hai

Ek shakhs do (2) ka mureed nahin ho sakta, haan dosre ka talib ho sakta hai.nnImam e Ahle sunnat Mujaddid e Deeno Millat Imam Ahmad Raza Khan ???? ?????? farmate hain :nnJo shakhs kisi jamea sharayat ke hath par bai’at ho chuka ho, to dusre ke haath par bai’at na chahiye.nnAkabire tareeqat farmate hain:nnJo mureed do (2) peeron ke darmiyan Mushtarak ho woh falaah nahin pata.nnKhusoosan jab usse kushudkar bhi ho chuka ho.nnHadees me Irshad hua : Jise ???? ????? kisi shay me rizq de wah usko lazim pakde.nnShuabulImaan, Volume 2, Page 89nFatawa Razawiya, Volume 26, Page 579nnMazeed ek maqaam par farmate hain.nnAuliya-e-karaam farmate hain:nnEk shakhs ke do (2) baap nahin ho sakte, Ek aurat ke do (2) shohar nahin ho sakte, Ek mureed ke do (2) shekh nahin ho sakte.nnFatawa Razawiya, Volume 26, Page 580nnSadrushshari’ah Badruttareeqah Hazrat Allamah Mufti Amjad Ali Azmi ???? ?????? farmate hain :nnMureed to Ek (1) ka ho chuka, Ek mureed ke do (2) peer nahin hote, haan dusre se taalib ho sakta hai.nnFatawa Amjadiya, Volume 4, Page 352

Share your love